Pages

Six Points of Tabligh in Urdu and English, (Six Qualities that is stressed in Tableeghi Jamaat principles (Chheh Batein)


SIX POINTS OF TABLEEGHI JAMAT...!!!

What is Six Point????????
Chheh Batein/Cheh Number Kya Hai??

Before Six Point detail and book in Urdu and English...........A kind Request for those who are doing the effort of Dawat o Tabligh.
Allah has done blessing on you that You have connection with the blessed effort of Dawat-o-Tabligh. You are doing the basic, crucial important ground work of bringing people towards the way of Almighty.You have understood the effort of Dawah, it is not your ability but Allah blessing only. You are treasure and asset of Ummah. Your energy and time is very precious. So devout Your time in Dawah Work as being instructed by elders and be careful that qualities are coming in your life. Concentrate Dawah work among common mass.This is from Manhaj of Beloved prophet Muhammad sallallahu Alaihi Wasallam. 

2. 95% of Great Ulema /Scholars all over the world including Arab world are supporting Tabligh work. Although they are working in service of Islam in different fields e.g Madarsa etc so they may not always have active Participation.

3. Some Ulema Scholars may have some misunderstanding, Your work and character should convince them. This method was successfully used by Maulana Ilyas Rahimullah. He not only convinced Rather He even took active work from those who were initially even against the effort. Some Scholars may be pointing the mistakes of workers. Don’t take it as opposition. Rather it should be listened carefully and should be corrected.

4. Don’t be discouraged with baseless allegations by some ......................Groups/ persons on You Tube/Face book/Internet. Do Sabr ,Do dua for them and leave the matter to Allah. Don’t waste your time in it
.
5.Answers to their Points are on the internet although not at one Place. Some of these answers have been collected on this blog.Alhamdulillah there are scholars who individually have now taken the issue of dealing these baseless allegations. Do dua that they should reply with humbleness, with knowledge, without abusing /disgracing anyone and in scholary Manner. 

6.If anyone ask you any question/Ashkal/objection about the effort of Tabligh, You should give only one answer,.......... Request him to go in the path of Allah in Jamaat.Tell him this is only option to understand the work. If still question is remaining give him address of Bangle Wali Masjid, Markaz Nizamuddin New Delh India and ask him to write letter/to meet them.

7.Some ................group / organisation /You tube/face book/TV scholars  will try to confuse  you on the name of Aqeedah.They will approach you and will do mischieves and will try to keep you away from the work of Dawah. They are working for their group and nothing to do with Islam or Aqeedah of Islam. They simply has come to confuse you . They ......................... ask  some  terminologies and try to confuse you....... .........We also got trapped in it .........We were knowing the fact but not terminologies so they confused us and created .............doubts against work of Tableegh.......... So please be clear that Islamic Aqeedah is very simple and clear without any confusion
and well described in Quran and Ahadith and has been well explained by Imams muhaddethin of Salafus Salehin.You should have Aqeedah Knowledge. 
You can read this book for Aqeedah knowledge in Islam.
This book contains full Aqeedatut Tahawi with translation that is original text and source book of Islamic Aqeedah. It has some advices from Scholars so that you could face any fitnah on the name of Aqeedah.



7.If anyone bring issue related with Fiqh e.g Position of Hand in Prayer etc.These issue are not under scope/Jurisdiction of Tablighi Jamaat. Don’t argue with them. Refer him to a Madarsa e.g In India Darul Uloom, Nadwatul Ulema, any Madarsa in your country etc. You can also give him mail ID ittehadummat@gmail.com. He may get help from us.

8. Increase the amount of Dua specially at night. Elders are telling that we are severly lagging in this area. It is very important area for any Daee/caller to Allah. Allah taala specially commanded the greatest Daee, Prophet Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam. He used to be in Night Prayer regularly.Dont forget us also in Dua.JAZAKALLAH

SIX POINTS OF TABLEEGHI JAMAT...!!!

What is Six Point????????
English book six point of Tabligh by BilalMalik.Alhadulillah very good collection of quran Ayats Ahadith .Click below for download
2. http://ekhlas.files.wordpress.com/2007/11/the-six-points-of-tabligh.pdf 

3.Urdu Mein Maulana Saad Markaz Nizamuddin book Cheh Batein Yahan click Karein ( cheh number ki Mehnat)


1.In English collection of Articles on Six Qualities  Click here.
Chheh Batein/Cheh Number Kya Hai??
1.Ye Chheh Sifat Hain,
Jo Sahaba ki Zindagi se Lee gayi Hain. 

2.Yeh Mukamaal deen nahin hai. 
Mukammal deen Quran e Pak aur Uski Tafseer Pyare Rasool ki Ahadith e Mubaraka hai.

3.Yeh Chhai Batein woh Sifat Hain Jo tamama Sahabah mein Payee jatee thin Agar ham Koshish Mehnat Karke In Sifat ko Apni Zindagi Mein Le Aenge to Hamara Bhi Pure Deen par Chalna Asan Ho jayega.Aur pure deen par chalne ki salahiat ho Jaegi.

4.ALLAH raste me nikalkar 6 baaton par amli mashq karenge to Insha ALLAH hamara deen par chalna asaan ho jayega.....Yeh 6 baatein yeh hain :

1. IMAAN yani KALIMA " La ilaha illal lahu muhammadur RasulAllah"
2. NAMAZ 
3. ILM aur ZIkR
4. IKRAM-e-MUSLIM
5. IKHLASE NIYAT
6. DAWAT o TABLIGH

PARHEZ K TAUR PAR LAYANI BAATON SE BACHNA....(Aisi Baat jisse na deen ka aur na Dunia Ka Phaeda)

1. IMAAN :
                   Imaan ka bol hai KALIMA"Laa ilaha illal lahu muhammadur rasul ALLAH -Tarjuma -Nahin koi mabood siwaye ALLAH k aur Hazrat Muhammad Sallal Laahu Alaihi wasallam ALLAH k Rasul hain" 
Isse yeh chaha ja raha hai ki hamare dil ka yaqeen sahi ho jaye; "Ki kisi se kuch nahin hota hai r sab kuch 1 ALLAH se hota hai,Allah apni Zaat aur Sifat me Yakta Hai.Wahi Tan Tnha Taqat Wala hai aur sirf usi ki Ibadat Karni Hai kyonki Sare Asbab ka Nafa Nuksan uske Hath mein Hai,
 aur Janabe Rasul Ullah Muhammad Sallal lahu alaihi wasallam k tariqon par Duniya aur Aakhirat dono jahan ki kamyabi hai.Iske Alawa tamam tareeqe batil hain aur dunia aur akhirat mein nakam karne wale hain.

Is Yaqqen ko Hasil karne ke liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Kamil imaan ki ummat me chalfirkar Dawat dena.
2. Mashq - Allah ki qudrat par gaur aur fiqr karna aur apni dawat k baad us k baare me dil se kahna ki  yeh ki jo dawat maine di hai wo haq hai aur sach hai.
3. Dua - Imaan ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH hame Imaan ki haqiqat ata farma.
Below is english from janab Bilal Malik book six points of Tabliagh



2. NAMAZ :
        Namaz se yeh chaha ja raha hai ki A.hamare andar sifate salat paida ho jaye yani jis tarah ham namaz mein Allah ke hukm aur nabi ke tareeqe par sab kuch Karte hain Waise hi namaz ke bahar ki zindagi mein bhi Allah ke hukm aur nabi ke tareeqe ko pura karein.
B.aur hum ALLAH k khazane se barahe rast lenewale ban jayen.
C. Hamari Namaz Hamein Fahash o Munkirat se rokni wali ho jaee.(Innas salate Tanha Anil Fahshae Wal Munkar.

D. Bukhari ki Hadeeth ka Mafhoom hai ki Ibadat aisi ho jaise too allah kpo dekh raha hai.Ya Allah tujhe dekh raha hai.
Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Kamil Namaz ki ummat me chalfirkar Dawat dena.Allah ke dhyan (Khushu-Khuzu/sifate Ihsan) Wali namaz ki dawat dena.
2. Mashq - Namaz k zahir aur batin ko malum karke inhe apni namaz me paida karna .NAMAZ ka 
   ZAHIR yeh hai ki,WAZU se lekar SALAM pherne tak tamam maselon ko sikhkar ada karna
       NAMAZ ka BATIN yeh hai ki jab hum namaz padhe to is dhyan k saath padhe Jise Hadith mein Ihsan Bataya Gaya hai/Ya Khushu Khuzu.
             Hum ALLAH ko dekh rahe hain agar yeh kaifiyat paida na ho to kum se kum yeh                to zarur dhyan me rakhe ki ALLAH to hame dekh hi raha hai.
                   
3. Dua -   NAMAZ ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu 
                hame bhi maqbool namaz ki taufiq ata farma.


3. ILM aur ZIQR :
      ILM se yeh chaha ja raha hai ki 
1. Hamare andar Tahqeeq ka Jazaba Paida HO Jae, Nafe Wla Ilm Janne ka jazaba.
2. Ham Ulema se/unki mustanad kitabon se Puch puch kar Amal karne Wale Ban jaein
3.Hum haal k amr ko pehchannewale ban jayen ki jis haal me hum hain is waqt ALLAH hum se kya chahta hai. Aur us kam mein Pyare Rasool muhammad S.A.W. ka kya tareeqa hai.

Asal ILM to QABR k 3 sawalon ka hai.....Deen kya hai.......Tumhara Rab kon hai....Huzur e pak S.A.W. ke bare mein.......Hamare Sare Ilm ki Tag o doo iske ird gird Ghumti Rahe............Agar Duniawi Ilm bhi hai to usse Allah ko Pahchane...........Falkiat,Science ......sab ke andar allah ki Qudrat chipi hai...... 

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Hum deen k nisbat se jo bhi ilm rakhte hain uski ummat me chalfirkar Dawat dena.
2. Mashq -  Ilm ki koi intaha nahi hai, Khoob Hasil karein. Quran ki Tafseer kisi Mustanad Alim ki Padhein, aur Hadith ka tarjuma bhi padhein Mustand Alim ka likha hua.
ILM 2 tarah ka hota hai ; (1) MASAEL wala ILM (2) FAZAIL wala ilm
         (1)Masailwala ilm Ulema ki majlison se hasil karen (2) Fazailwala ilm isse Amal ka shauq paida hota hai...... Taalim k halqo se haasil karen.                       
3. Dua -   ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu 
                hame ILM NAAFE ata farma.

ZIkR :
           Ziqr se yeh chaha ja raha hai hamare andar ALLAH ka dhyan paida ho jaye aur hum ALLAH ki ibadat ALLAH k dhyan k saath karnewale ho jaye.
ALLAH ka dhyan hoga to humse gunaah kam honge aur tauba ki Taufeeq Hogi .Deen mein zikr ka bada darja hai.....Quran o hadith mein iski bahut takeed ayi hai.
Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar khub ziqr ki fazilat bayan karke unhe iski Dawat dena.
2. Mashq - Ziqr ka mashq yeh hai ki,Hum 
A.Quran ki tilawat khub karen,Ise sikhen bhi aur sikhaye bhi, Samjhein aur Amal karein
 2.Tasbihaat ki pabandi rozana karen,Koshish karein ki 
 Subah sham  100 bar 3ra Kalima,
                  100 bar Darud Shareef,100 Bar Astaghfar padhen....
Saath hi saath Masnoon Duaon ka bhi ehtimam karen.....                               
3. Dua -   Ziqr ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu 
                hame bhi apne ziqr ki taufiq ata farma.


4. IQRAME MUSLIM :
   1..Isse yeh chaha ja raha hai ki hamare andar Isaar,Hamdardi aur Ghamkhwari ka jazba paida ho jaye.
2.Hum Badon ki Izzat,Choton par Shafqat aur Ulema e Deen ki qadar karne wale ban jaye.
3.Hum na sirf musalmanon ki balki gair-musalmano ke Huquq ko bhi ada  karne wale hon Hatta ke janwaron ke bhi Huquq.

4. Ham Har musalman ki izzat karein usko apne se achha samjhein ki uske pas emman hai aur agar woh Eman ke sath dunia se gaya to Jnnat mein jaega.......Kisi ko Haqeer na samjhein......taki is ummat me jod paida ho sake,
5.Hum apne haq ki riyayat karte huye dusron k haq ko pooch-pooch kar ada karnewale ban jayen.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar unhe Iqram ki daawat dena aur apne akhlaq ko sabse accha banane ki koshish karna.
2. Mashq -  Hum SALAAM me pehal karnewale hon aur SALAAM ko khub aam karnewale hon,
jab koi beemar ho to uski ayadat kane jayen,
koi pareshan ho to uski tajiyat me jayen,
aas pados walon ki khair khairiat lete rahe.Sabse muhabbat karen.               
3. Dua -   ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu 
                hame bhi dusron ka iqram karnewala bana de.


5. IKHALS e NIYAT :
                                   Isse yeh chaha ja raha hai ki hum jo bhi NEK amal karen khalis ALLAH ko razi karne k liye karen,
Naam o Namood,Shohrat aur kisi ko dikhlawe k liye na kren.
ALLAH tamam amaalon me se usi amal ko qubul karte hain jo khalis unhi k liye kiya gaya ho.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar Ikhlas ki Dawat dena.
2. Mashq - Iska mashq yeh hai ki apne har amal k shuru me,beech me aur aakhir me yeh gaur karna ki
                  hum jo amal kar rahen hain kiske liye karne ja rahe hain,kiske liye kar rahen hain,
                  aur hamne yeh amal kiske liye kiya.    
3. Dua -   ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu 
                hame har nek amal khalis teri raza k liye ikhlas k saath karne ki taufiq ata farma.


6. DAWAT o TABLIGH :
                   Isse yeh chaha ja raha hai ki ALLAH ka diya hua JAAN,MAAL aur WAQT ka sahi istemal ho jaye.
Aur yeh sab kuch ALLAH k huqmon ke mutabiq kharch ho jaye,Qki ALLAH ne hamare JAAN,MAAL ko Jannat k badle me pehle hi khareed liya hai,hum pehle se hi bike huye hain,hamara kuch bhi nahin hai.

Iske liye 3 Line ki mehnat hai :
1. Daawat - Ummat me chalfirkar Dawat dena.

2. Mashq -  Sahaba ne deen par apna sab kuch lagaya....Bacchon ko yateem kiya ,Bhukhe rahe..Hazrat Ali R.A. Hazrat Abu Bkar sab Deen ke khatir bahut takleefein uthain........Apne ghar ko choda....Puri dunia mein Phail Gaye.......Shaba ki Qabrein kahan kahan hain......Hindustan ke Kerala aur Tamilnadu states mein hain....Africa ke jandalon tak sahaba deen ko lekar pahunche........Unhone apna kam pura kiya .......Ab Hamari bari hai......

Leki ham Shaba Jaisi qurbani ke laeq nahin hain....Bahut kamzor hain.....Hmari kamzori ko dekhte hue ek asan si Tarteeb hai warna asal to wahi hai jo sahaba ne kiya....... 
Is ki ek Asaan Tarteeb yeh hai ki hum apni puri zindagi me himmat karke 1 baar apni mashguli se waqt nikalkar ALLAH k raasten me 4 mahina lagayen,Phir iske baad Har Saal 40 Din ALLAH k raasten me nikle r deen seekhen,Har Mahina 27 din khub jam kar halal tarike se rozi kamayen aur 3 din ALLAH k deen k liye nikalen,
Masjid k 5 aamalon me apne aapko shaamil karen.Jisme (1) Rozana Masjid ki taalim me fikron k saath baithe Amal ki niyat se
 (2)Ghar me bhi taalim ko zinda karen qki hamari MAA-BEHNON ka bhi masla hai,Mard se jyada aurten hain aurton se jyada Bacchhe hain....Unki fikar kaoun karega hum to masjid me aakar deen ki baat sun lete hain hamari ghar ki Masturat ka kya hoga wo kahan jayengi,Unke saath bhi Qabr aur Hashr ka masala hoga.
(3)Mashwaron ki bhi fiqron k saath pabandi karen aur apni mohalle basti k logon ko masjid wale aamal main jodne kai aitbaar se mashwara karen. 
(4) Rozana 2 1/2 Hrs. Fajar k baad ya jab bhi apko waqt mile mohalle me chal firkar logon se mulaqaten karke unhe deen ki daawat de,chahe wo apki baat maane ya na maane rozana sabko dawat dain.DAWAT,TAALIM aur ISTEQBAAL k saath. 
(5) Hafte me 2 Gasht karen 1 apni Masjid ka aur 1 Pados ki dusri Masjid ka jahan mashware se tay ho jaaye. Yaad raken 2 Gasht milakar pura Gasht hota hai,Apne mahalle aur pados ke mahalle donon ki fikr.
                        
3. Dua - ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu hame bhi apne deen k raste k liye qabool farma aur hame bhi deen ka kaam karne ki taufiq ata farma.


LAYANI SE BACHNA : (Aisi Baat jisse na deen ka aur na Dunia Ka Phaeda)
                                     Parhez k taur par layani baton aur kamon se yanio fazul baton aur kamon se apne ko bachana taki hamari NEKIYON ki hifazat ho jaye.
Allah Ham sab ko Amal ki Taufeeq naseeb Farmaye. (Ameen)





(Neeche ka rough mazmoon hai maine isliye dal diya hai ki koi islah kar de.agar kisi sathi ke pas waqt ho to ise thoda theek kar ke hamare pas muhammadabuzar10@gmail.com par bhej dain. Jazakallah

ZIKR KE FAZIAL

mere bhaioon yeh Allah ka bada hi fazal hua kay Allah nay hum sub ko deen ki nisbat par jamafarmaya aur Allah nay hum sub ki kamiyaabi apnay deen mein rakhi haimerey bhaioon muqaamo mein sab say afzal muqaam kaaba tullah ka haimahinoon mein sub say afzal mahina ramzaan ka haiaur raaton mein sub say muqaddas raat shabb-e-qadr ki raat haidino mein sub say afzal din juma ka haiussi tarah waqt mein sub se afzal waqt fajr aur asar ka waqt hai is mein hum sab zikr karnaywalay banay kyonki is waqt mein farishtay tabdeel hotey hai, fajr mein jo farishtein aatay hai wohasar mein wapis hote hai aur jo asar mein aatein hai fajr mein wapis hotey hai aur Allah kayyahaan arz kartay hai kay humnay aapkay banday ko zikr ki halat mein daykha hai.meray bhaion aaj hum say jo gunaah ho rahay hai woh ghaflat ki wajhay say ho rahay hai aur isghaflat ko door karnay kay liye hum sub zikr karnay walay banay takay ghaflat hum say door hojaaye aur yeh tassawur dil mein aajaye kay Allah mujhay dekh rahay hai.Hadees :-Allah kay zikr say badkar kisi aadmi ka koi amal azaab e qabar say najaat dila nahi sakta.ek hadees ka mafhoom hai ki jannat walon ko jannat main janay kay baad duniya kay kisicheez ka afsoos nahi hoga siwae us ghadi kay jo ghadi Allah kay zikr kay baghair duniyamein guzar gayi hoaur ek hadees ka mafhoom hai ki jo shaks Allah ka zikr kasarat se karta hai woh nifaq saybari haiaur ek hadees ka mafhoom hai jo banda Allah ka zikr karta hai woh zinda hai aur jo bandazikr nahi karta woh murda haiek hadees ka mafhoom hai ki ek shaks kay pass maal ho aur ussay taqseem kar raha hoaur ek shaks Allah ka zikr kar raha ho - to dono mein Allah ka zikr karne wala afzal haiRozana subah-o-shaam hum sub 3 tasbeehat ka ehtemaam karay:1) isteghfar (100 baar) - isliye padhay kyonki hum se subah o shaam gunaah hote hai unko yaadkarke hum Allah se nadamat ke saath istighfar ke zariye tauba karein.ek hadees ka mafhoom hai kay khata(gunaah) to har shaks karta hai magar behtarein khatakarnay wala woh hai jo istaghfar karay.ek hadees ka mafhoom hai kay jo banda nadamat kay saath apnay gunaaho par
tauba o’
 isteghfar karta hai to agar us kay gunaah samundar kay jhaag kay barabar bhi hoto Allahunko muaaf karta hai2) teesra kalima (100 baar) - isliye padhe is mein Allah ki badayi aur azmat hai, aur unki badayiaur mohabbat hamare dilo may ajaye aur duniya ki mohabbat dil say nikal jaye.ek hadees ka mafhoom hai jab banda subhanallah kehta hai uskay badlay mein jannatmein ek daraqt laga diya jata hai3) darood-e-sharif (100 baar) - isliye padhe kyonki Huzoor (SAWS) ke karodo ahsanaat hum parhai jin ka haq hum nahi ada kar saktay isliye roz subah-o-shaam darood-e-sharif Huzoor(SAWS) par bhejay.ek hadees ka mafhoom hai kay Huzoor (SAWS) nay farmaya jo mujh par ek baar duroodbhejayga Allah us par dus rahmatein nazil karta hai.ek hadees mein huzoor (SAWS) nay farmaya qiyamat kay din meray qareeb wo shaks hogajo mujh par ziyada darood bhejayga.









GHUST KAY ADAAB
1) mere bhaioon, yeh Allah ka bada ahsaan aur fazal hua kay Allah nay hamein maghrib ki namazba jamat padhnay ki toufeeq ata farmayi aur thodi dair deen ki nisbat par jama farmaya2) hadees ka mafhoom hai kay -
thordi dair deen ki nisbat par ghour o fikr karna 60 ya 70 saalnafil ibadat say afzal hai
 3) yahan baithkay hamay is baat ki fikr karna hai kay kaisay meri zindagi mein aur meray gharwalon ki zindagi mein aur saaray alam mein kaise deen aam ho jaye.3) Allah nay hum sub ki kamayabi apnay mubarak deen mein rakhi hai aur jis kisi ki zindagi meindeen hoga A
llah usay duniya o’akhirat dono mein kamiyab farmayengay aur jis kisi ki zindagimein deen na hoga usay
duniya o’ akhirat mein na-kamiyab farmayengay aur deen meraybhaioon zindagi mein mout say pehlay lana hai aur ek baar mout agayi to phir ekbaar subhanallah kehnay ka mouqha na diya jayega4) aur deen 2 cheezo ka naam hai - Allah ka hukum aur Nabi (SAWS) ka tariqha5) jab kabhie bhi duniya mein deen ka bigaad aata to Allah apnay nabiyon ko is deen kay khatirduniya mein bheja
, kum o’besh 1,25,000 nabi is duniya mein aaye aur har nabi nay ek Allahki taraf logon ko bulaya aur jo log unki baat manliye woh kamiyab ho gaye jo log unki baatna maani woh nakaam hue. aur jab tak nabiyon nay deen ki mehnat ki to logon ki zindagimein deen aata aur jab nabi chalay jatay to phir bay-deeni aam ho jati.6) aur aapkay aur mere aaqha Hazrat Mohammed Mustafa (SAWS) aakhri nabi hai aur unkay baadkoi nabi ya rasool aanay walay nahi hai (aaj say 1400 saal pehley Huzoor (SAWS) ki nabuwat kayzariye Allah nay is deen ko mukammal farmaya) aur yeh deen kay kaam ki zimmaydari(kaar e nubuwwat ka kaam) har emaan walay ka kaam hai kay
………
 khud bhi naik amal karay aur naik amal ki dawat day (amar bin maroof) aurkhud bhi buraye say rukay aur dusron ko bhi rokain (nahi anil munkar)7) adaab: ab jo aanay wala amal hai woh ghust wala amal hai is mein 4 aamal ho
……ek saathi yahan baith kar dawat ki baat chalayeek saathi dua o’
zikr mein rahein, Allah say talluq joday aur ijtemaye hidayat ki dua kareinek saathi istaghbaal mein raheinaur ek amal ghust ka ho jis mein 3 sathiuon ka hona ahem haii) pehla ameer: jis ka kaam yeh hain ki jamaat ko dua kara kar ek baazo say rastay ka haq adakartay hue layjaye, gali mein 3rd kaleema aur bazar mein 4th
kaleemay ka vird karay aur kise kayghar par jaye to ek baazo ho kar khaday aur apnay nazron ki khaas hifazat karein
ii) dusara rahbar : - jis ka kaam yah hai ki aapnay muslamaan emaan walay bhai ko acchay andaazmein mutakallim sahab say milaye.
iii) teesra mutakallim :- jin ka kaam yeh hai kay muqtasar si emaan aur emaan walay ki qadar o
 qeemat bata kar apnay bhai ko naghad lenay ki koshish karien. agar koi uzar pesh karein toussay dawat de kar choord-dein ke khood bhi aye aur apne bhaioon ko bhi saath laye.is rastay kay- fazial:is rasstey mein ek baar subhanallah kehein gay to 7 lakh bar subhanallahkehnay ka sawab milayga.aur is raastey mein ek baar kadam rakhegay to 700 kadam ka sawab milaygaaur jo gard, methi Allah kay raastay mein jis badan ko lagay uspar Allah nay jahanum ki aagharaam farmaye hai.Aur wapisi mein nadamat kay saath isteghfaar kartay hue aaye kay jaisa kaam karna thawaisa na kar sakay aur naa-hi us ka haq ada karsakay takey Allah hamay aaendah kay liyequbool farmaye- to is key liya sub bhai taiyaar hai
naa ………….
(insha-allah











TARGHEEBI BAAT
meray bhioon yeh Allah ka buhot hi bada fazal o karam huwa ke hum sub ko deen ki nisbatpar jama-farmaya.hadees ka mafhoom hai kay thordi deir deen par ghour o
fikr karna 60 ya 70 saal nafil ibadatsay afzal hai.Allah nay meray bhaioon, hum sub ki kamiyabi apnay mubarak deen mein rakhi hai aur jis kisi kizindagi mein deen hoga Allah usay duniya o’ akhirat dono mein kamiyab farmayengay aur jis kisi kizindagi mein deen na hoga
usay duniya o’
aqhirat mein na-kamiyab farmayengay aur deen meraybhaioon zindagi mein mout say pehlay lana hai aur ek baar mout agayi to phir ek baar subhanallahkehnay ka mouqha na diya jayegais deen kay khatir Allah nay insaano ki rahbari kay liye nabiyon ko is duniya mein bheja. aur nabinay loogon ko maqlooq ki ibadat say choordakar khaliq ki ibadat yaani Allah ki ibadat kay tarafbolaya. saaray nabiyon nay is deen ki khatir takleef bardasht ki magar saaray nabiyon ki takleefek taraf aur Huzoor (saws) ki takleef ek taraf.aur aap kay aur hamaray Nabi Hazrat Mohammad (saws) ko jab nabuwat mili to Aap (SAWS) naymakka mein taqreeban 13 saal deen ki mehnat ki. hamaray nabi Huzoor (SAWS) aur Sahaba (R.A)nay takleef is liye bardasht ki takay deen hum tak pahonchay
……
jaise Huzoor (SAWS) ka taif kasafar, Hazrat Bilal (R.A) ka raat bhar maar khana , Hazrat Khabbab (R.A) ka angaar par ghaseetayjana yeh sub takleefein in hazraat ne sirf Allah ke deen kay liye bardasht ki.aur aasi azeyatein aur taklee
fien muslamnon par kuffar o’
mushrikeen ki taraf say hue to Sahaba(R.A) nay pahlay habsha (ek shaher) ko hijrat ki. magar wahan bhi ku
ffar o’ mushrikeen nay
unkoyaani Sahaba (R.A) ka peecha na choorda aur habsha kay loogon ki taraf say Sahaba (R.A) ko koinusrat ya madad na mili.jab kuffar o
mushrikeen kay zulm bohat badgaya tab Allah ki taraf say Nabi (SAWS) ko madineko hijrat karnay ka hukum hua. to Sahaba (R.A) nay makkay say madina hijrat ki (aur jo Sahaba(R.A) makkay say madina hijrat ki unko muhajir sahaba kehtay hai aur madiney mein rahnaywalay sahaba jisnay hijrat karnay walon ki nusrat ki unhay ansaar kethay hai). madine walon nayhijrat karnay walon ki har etebaar say nusrat aur madad ki tab ja kar saaray duniya mein deenpehla.Hadees:ek hadees ka mafhoom hai
 –
Huzoor (SAWS) nay farmaya :
agar hizrat ka taqaza na hota to mein bhi ansaar mein say hota
”.
 aur ek hadees ka mafh
oom hai kay : “jo shaks neiki ki taraf bolata hai woh aisa hai jaisakhud neiki karnay wala”
 a
ur ek hadees ka mafoom hai kay : ”Allah kay rastay mein ek din aur ek raat ka nikalna
duniya aur jo kuch bhi us mein hai u
ssay behtar hai”
 to jab tak yeh hijrat wa nusrat ka amal hota rahega Allah apnay fazal say ussay deen pahelnay kazariya banayengay.to meray bhaioon hum bhi hijrat ki shakal lay kar aap kay muqaam par aye hai deen kay liye auraap logon say guzarish hai kay hamari nusrat karien yaani humari taleem mein sath dein,mulaqaat karaien, deegar deeni umoor mein saath dein, is say hum sub ko deen ka fayeda hoga.hamari taleem ka waqt_______aap say guzarish hai kay is mein shirkat farmayein aur apnay dostahbaab
ko bhi laykar aaye. (subhaan allahi wabi hamdihee……..)



MUSHWARAY KAY ADAAB
1. mushwara Allah ka pasandeeda amal hai2. Huzoor (SAWS) ki sunnat hai aur Sahaba (R.A) ki seerat hai aur hamari zaroorat hai3. mushwara 3 cheezon ka ho24 ghantay kay umoor tay karleinhum jaisa - Allah kay rastay mein nikalein hai ussi tarha yahan kay logon ko bhinikaleinagar is masjid mein masjid war jamaat baitey ho to ussay mazboot karnay ki fikrkarein aur na baitey ho to bithanay ki fikr karein.4. mushwara mein saaray alam ki fikr lay kar baithay5. deen ka faidah dekh kar rai dein6. mushwara mein maa
n’
nay kay jazbay say baithay , manwanay kay jazbay say na baithay7. apni rai ko amanat samajh kar dein8. kisi sathi ki rai ko na kaatein9. qidmat aur elaan mein khud ko pesh karein doosray umoor main rai dein10. apni rai par israar na karein11. mushwara dilon ka joard hai12. mushwara say pehlay mushwara na karein aur mushwara kay baad tabsayrah na karein13. mushwara mein aksariyat aur akhiliyat ki koi ahemiyat nahi14. mushwara say pehlay sub ki rai alag-alag hoti hai magar mushwara kay baad sub ek rai ekhojati hai15. har ahem kaam chahay deen ka ho ya duniya ka us mein mushwara karein, magar aurat koameer na-banayein16. mushwara karkay jo kaam mein nuqsaan ho us par afsoos nahi hota


TALEEM KAY ADAAB
1. taleem mein halqa bana kar baithay2. ba adab ba wuzu baithay3. ho sakay to 2 rakat nafil padhkar
 Allah say hidayat ki dua karein4. taleem mein 3 hisay haikitaab ki taleemquraan kay halqay6 (che) number ka muzaakirah5. Allah aur uskay Rasool (SAWS) ki dil mein mohabbat lay kar baithay6. dhiyaan aur tawajjuh say sunay7. taleem karne walay ku ya kitaab ko dekhein8. taleem say dil taasuur laynay wala banay (yani asar lanay wala)9. amal ki niyyat say aur dusooron tak pahonchanay ki niyyat say sunay10. Huzoor (SAWS) ka naam aye to durood padhein11. jannat ka tazkerah ho to dil khus ho aur jahannum ka tazkirah ho to dil mein khauff ho.





6 NUMBER
Deen par chalna aajaye isliye buzurgan e deen nay quran wa hadees kiraushni mein 6 baatein bataye hai jin par mehnat karkay zindagi meinlaanay say inshallah deen par chalna asaan ho jaata hai.
 ________________________________________________________________________________ 
1. IMAAN
MAQSAD
: Hum ko apne imaan par itni mehnat karna hai kay hamaray dilon mein sirf Allah sayhonay ka yaqeen aajaye aur yeh yaqeen aajaye kay Mohammed SAWS kay tareeqonmein saw fisad kamiyaabi hai aur ghairon kay tareeqon mein saw fisad nakami hai.
FAZAIL
: # sirf yaqeen ki tabdeeli par Allah jallashanahu har aadmi ko is duniya say kaee guna

badi jannat dengay, jab cheezo say honay ka yaqeen dil say nikal jaayeega aur Allahsay honay ka yaqeen aajaeega to Allah ta’ala saari cheezo ko aapnay taabay banaeegay# jab Hazrat Mohammed SAW kay tareeqay zindagi mein aaeengay to Allah jallashanahu ki zaate aali say taaluq paida hoga Allah jallayshanahu ki khudrat say barah e rast faiday uthanaywalay banengay aur Allah jallashanahu har nakhshay mein kaamiyaab karkay dekhla dayga.
MEHNAT
:
i)
Is yaqeen ko apnay andar lanay kay liye ek to doosro ko Allah say hone ki dawatdena hai aur Allah ki badaaye samjhana, Allah ki raboobiyat samjhana (yaani Allahhi paalnay walay hai), Allah ki qudrat (taaqat) samjhana, kay kaise har cheez Allahkay hukum ki mohtaaj hai, aur phir Ambiya (A.S) aur Sahaba (R.A) kay wakeayaatsunanay hai.
ii)
doosra jis yaqeen ki majmue mein dawat di hai us yaqeen ko tanhaaeoon me baithkar khoob soonchna aur dil mein utaarna.
iii)
teesra ro ro kar Allah say dua mangna hai kay aye Allah hamay is yaqeen ki haqeeqat saynawaazday ________________________________________________________________________________ 
2. NAMAZ:
MAQSAD
: hum ko apni namaz par itni mehnat karna hai kay hamari namaz haqeeqat wali ban jaaye.
FAZAIL
: agar hamari namaz haqeeqat wali ban gayee to hum namaz kay zariye, Allah ki qudrat

say barah e rast faiday uttha nay walay aur namaz kay zariye hum apni har zarooratko pura karnay walay ban jaayeingay, aisi namaz par Allah jallashanahu gunahon komaaf karengay, rizq mein barkat deengay aur it’aat ki taufeeq bhi deengay.(namaz kay fazail ki hadees bolna - see fazail e namaz)
MEHNAT
:
i)
is haqeeqat wali namaz ko seekhnay kay liye ek to doosro ko khushoo aur khuzoo wali
namaz ki dawat dena aur is mein duniya aur akhirat kay faiday samjhakar amaada karnahai, Huzoor (SAWS) aur Sahaba (R.A) kay namaz ko sunana.(see fazail e amaal mein hikayat sahaba mein sahaba kay namaz ke waqeaat - usko bolna)
ii)
doosra apni namaz ko accha karnay ki mashk karna hai-yaani ehtamaam say wazukarna,sar say lay kar pair tak Allah ki riza wali, maqsoos - tareeqay par pabandeoon kay saathankhon ka, kaano ka , zabaan ka, hathon ka, pairon ka - istemaal theek karna, dil meinAllah ka khauf ho aur is baat ka yaqeen ho kay namaz mein Allah kay hukum kay mutabiqmeri har harkat ho tasbeeh, ruku, sajda, saari kainath say ziyaada inamaat delanay walihai, namaz mein ehtemaam say dhiyaan jama na hai, iskay liye qiyaam mein, qhaidaymein, ruku mein, sajday mein kum se kum 3 baar yeh soonchna kay meray Allah mujhaydekhrahay hai, agar hum is dhiyaan kay saath namaz padhengay ki meray Allah mujhaydekhrahay hai to namaz ki bahar wali zindagi mein bhi Allah ka dhiyaan naseeb hoga aur gunahoo say mehfooz rahengay.
iii)
Namaz ke khatam par yeh soonchna kay meri namaz Allah ke shaan kay mutabiqnahi huye is par rona aur dua maangna kay aye Allah hamari namaz mein haqeeqatpaida farma. _____________________________________________________________________________ 
3. ILM:
MAQSAD
:humko apnay ilm par itni mehnat karna hai kay hamaray andar tehqeeq ka jazbapaida ho jaye kay is haal mein meray Allah mujh say kya chahtay hai aur har amalsay pehlay Allah ka hukum aur Aap (SAWS) ka tareeqa maloom karnay walay ban jaaye aur zidagi ka koi shoba aisa nahi hai jisko Huzoor (SAWS) karkay dekhla nagaye ho ya phir apnay Sahaba (R.A) ko batla na gaye ho.
FAZAIL
: # jo aadmi deen seekhnay ke liye safar karta hai uska yeh safar ibaadat mein likha jata

hai aur uskay liye sattar(70,000) hazaar farishtay pairon kay neechay par bichadaytay hai aur zameen aur asmaan ki saari maqlooq dua e maghfirat karti hai# shaitan par ek alim hazaar abidon say ziyaada bhaari hai.(see fazail e ilm in muntaqab hadees and fazail e amaal - aur hadees bolna)
MEHNAT
:
i)
apnay andar tehqeeq ka jazba paida karnay kay liye ek to doosro ko ilm kay fazailsunana yaani dawat dayna aur ilm hasil karnay ka shauq paida karnay ki koshishkarna hai. Sahaba (R.A) kay waqeaat sunana kay kaisa Sahaba (R.A) ek hadeessekhnay kay liye duur ka safar kartay the (see hikayat shaba ilm seekhne ka jazba)
ii)
doosra khud taleem kay halqon mein baith kar ilm sekhnay ki mashk karna hai aur ulema ki khidmat mein haaziri dayna hai is yaqeen kay saath - kay yeh bhi ibaadathai
iii)
teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah ilm ki haqeeqat say nawaazday ________________________________________________________________________________ 
ZIKR:
MAQSAD
: hum ko zikr par itni mehnat karna hai kay hamaray andar Allah ka dhiyaan paida hojaaye
FAZAIL
: jo aadmi Allah jallashanahu ko yaad karta hai Allah jallashanahu usko yaad kartay hai

#jab tak aadmi kay hont Allah kay zikr mein haltay rehtay hai Allah taala uskay saathhotay hai # Allah ka zikr karnay par Allah taala apni mohabbat aur maarifat (pehchaan)ata farmatay hai #Allah ka zikr shaitaan say hifaazat ka zariya hai (see fazail e zikr)
MEHNAT
:
i)
apnay andar Allah ka dhiyaan paida karnay kay liye ek to doosoron ko Allah kay zikr karnay ki targheeb day kar amaada karna hai (sahaba ke waqeaat sunana)
ii)
doosra khud dhiyaan jama kar meray Allah mujhe dekh rahein hai kum say kumsubah aur shaam, teen teen tasbeehaat ki pabandi karna hai -durood shareef,-isteghfaar, suwwam kalima aur quran shareef seekh kar rozaana kum say kum ekpaaray ki telawat karna hai aur masnoon duaoon ka ehtemaam karna hai
iii)
teesra ro ro kar Allah say mangna hai kay aye Allah apna dhiyaan naseeb farma. ________________________________________________________________________________ 
4. IKRAAM E MUSLIM:
MAQSAD
: hum ko ikraam e muslim par itni mehnat karna hai kay har musalmaan ka uskay

imaan wala hoonay ki wajeh say ikraam karna hai aur har musalmaan ka ba-haiseyat Rasool SAWS kay ummati honay kay ikram karna hai aur har ummati kay aagay bich jaana hai aur har shaks kay huqooq ko ada kartay huye apnay huqooq ko maaf karna aajaye.
FAZAIL
: # jo aadmi musalmaan ki parda pooshi karega Allah jallashanahu uske aibon ki parda

pooshi farmayengay# jab tak imaan wala apnay bhai kay kaam mein laga rehta hai Allah jallashanahu uskay kaammein lagay rehtay hai# jo apnay haq ko maaf karega Allah jallahshanahu jannat kay beech mein mahal atafarmayengay# jo Allah kay liye doosron kay aagay zaleel hota hai Allah jallashsnahu usko rafat wasarbulandi ata farmatay hai.
MEHNAT
:
i)
apnay andar ikraam paida karnay ke liye ek to doosron ko musalmaan ki qeematbatana hai kay (har imaan wala saato zameen aur saato asmaano aur jo kuch ismayhai ussay bhi bahut qeemti hai) ikraam ki targheeb dena hai, Huzoor Akram SAWSaur Sahaba (R.A) kay akhlaaq wa e’saar kay waqeaat ko sunana hai
ii)
doosra khud iski mashk karna hai (doosron ki khidmat karkay)
iii)
teesra ro ro kar Allah jallashanahu say Huzoor SAWS walay akhlaaq ko mangna hai.
 _____________________________________________________________________ 
5. IKHLAAS E NIYYAT:
MAQSAD
: hum ko apni niyyat ko durust karnay par itni mehnat karna hai kay har amal meinsirf Allah ko razi karnay ka jazba paida ho jaye kisi amal say duniya ki talab aur apnihaisiyat maqsood na ho

FAZAIL
: # Allah ki riza kay jazbay kay saath thoda sa amal bhi bahut baday - baday inamaat

dilanay wala hai aur iskay bagair bahut baday - baday amal giraft ka sabab banengay# ikhlaas say kiya hua ra’e kay danay kay barabar wala amal bhi qiyamat mein uhadka pahaad say bhi bada ajar dilayega aur ikhlaas kay bagair agar uhad pahaad kaybarabar bhi amal kareingay to woh ra’e kay danay kay barabar bhi ajar nahi delayega.
MEHNAT
:
i)
apni niyyat ko durust karnay kay liye ek to doosron ko dawat kay zariye niyyat kosahi karnay ki fikar aur shauq paida karnay ki koshish karein 
ii)
doosra apnay har amal say pehlay aur amal kay dauraan niyyat ko durust karnay kimashk karna hai kay - mein yeh amal sirf Allah ko raazi karnay kay liye kar rahaahoon
iii)
teesra - amal kay puray honay par apni niyyat ko naqis kharaar day kar tauba waisteghfaar karna hai aur ro ro kar Allah say ikhlaas ki taufeeq mangna hai.
 ______________________________________________________________________ 
6. DAWAT E IL’LAL’LAAH:
MAQSAD
: Huzoor Aqdas SAW ke khatm e nabuwwat kay tufail puri ummat ko dawat wali

mehnat mili hai aur hum is mehnat ko itna karnay walay ban jaaye kay hamaraapna aur Allah kay tamaam bandon ka taalluq Allah say ho jaaye.
FAZAIL
: # jo zameen waalo par raham karta hai asmaan waala us par raham karta hai# jo doosron ka taalluq Allah say joodnay kay liye imaan wa amaal e saleh ki mehnatkarayga, Allah jallahshanahu sub say pehlay usko imaan wa amaal e saleh kihaqeeqat say nawaaz kar apna taalluq ata farmaengay# is rastay mein ek subah ya ek shaam ka nikal na puri duniya mein jo kuch maal hai aur jo kuchamaal ho rahay hai un sub say behtar hai# is mehnat mein maal ka kharch karna, Allah ka har zikr wa tasbeeh, har namaz ka sawab saathlakh (700000) guna bard jata hai# is mehnat ko karnay walon ki dua bani israeel kay ambiya alaihis-salaam ki tarah qubool hotihai yaani jistarah unki duaoon par Allah jallashanahu nay zahir kay khilaaf apni khudrat koistemaal farma kar unko kamiyaab farmaya batil ko toord diya usi tarah is mehnat walon kiduaoon par Allah jallahshanahu zahir ke khilaaf apni khudrat ka muzahera farmaengay# agar aalami buniyaad par mehnat ki jaaye to tamaam ahle aalam kay quluub mein is mehnatkay asar say Allah jallahshanahu tabdeeliyaan layengay.
MEHNAT
:
i)
deen kay doosray amal ki tarah hum nay yeh mehnat karnay nahi aaye is mehnatko seekhnay ke liye ek to doosron ko is mehnat ki ahmiyat wa qeemat bata kar usmehnat kay karnay kay liye amaada karna hai 
ii)
ambiya alaihis-salaam aur Sahaba (R.A) walay tarz par apni jaan wa maal koqurbaan karna, hijrat wa nusrat walay amaal mein apnay-aap ko lagana hai aur jinmein mehnat karein unsay kisi cheese kay talib na bannay, har haal mein Allah kayraastay mein nikalnay ki mashk karna hai, jaisay kay Sahaba (R.A) Allah kayraastay mein nikalay - nikah kay waqt, rukhsati kay waqt, ghar mein wiladat ka
waqt, wafaat kay maukhay par, sardi mein, garmi mein, bhook mein, fakhay mein,quwwat mein, zauf mein, jawaani mein, budhapay mein
iii)
teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah hamay is aa’li mehnat kay liye qubool farma