Madeena monawwarah mein hazrat jee(R A) ka ek khetaab
(Bayaan)
(Moarrikha 3/October 1959)
Dawat ki Mehnat ka
Maqsad
Us waqt saari dunya men musalmaan apni apni mosibaton se nikalne ki
koshish kar rahe hain un ki koshishon ka rukh sahih hai ya ghalat, hamaari is
mehnat ka maqsad ye hai ke saare musalmaanon ki koshish sahih ho ,ye apni mosibataon
se nikal jayen ye mehnat saari dunya ke aetebaar se aisi hai jaisi ek chunti ki
haisiyat ya lakhon ki namaaz men ek namaazi ki haisiyat –
Chunti ki Dua
lekin Allah ne ek chunti par bhi bataa diyaa ke wo kiya maamlaa karte
hain- hazrat moosaa alaihissalaam baarish
ki duaa mange saari qaum ko lekar chale ,lekin raastaa hi se waapas aagaye aur
farmaayaa ke ek chunti ne duaa maang lee aur uski duaa qubool ho gayee us chunti
ne wo nauiyat ikhtiyar ki jo Allah ko pasand aagayee-
Agar Mehnat Allah ko Pasand A Gayi
isi tarah agar tumharee mehnat ki nauiyat Allah ko pasand aagayee to
zaroori nahi ke sab is kaam me laga
jaayen tabhi inki moseebat door ho , balki sirf tumhaari mehnat par sab ki mosibat
door ho jayegi , agar tumhaari mehnat Allah ko pasand aagayee . isi tarah agar laakhon ki namaz men ek
ekhlaas waala hoga to sab ki namaz qubool ho jayegi jo ek ko milegaa wo sab ko
milega—
Tum poori ummat-e-mohammadya
sallallahu alaihi wasallam ke liye
darwaazaa khulwa sakte ho , basharte ke tum qubool ho gaye aur agar tumhaari
mehnat qubool ho gayee to Allah taalaa sab kuch is par denge.
Ek haji ne haj ke baad khawaab
dekha ke do farishte aapas men ek doosre se kah rahe hain ke allah taalaa ne eke k ke badle ek laakh ka
haj qubool kia ,Sirf tumharaa jaanaa saare ilaaqon ke liye dafaa balaa kaa
sabab ban sakta hai agar tumhaaraa jaanaa Allah ko pasand aajaaye -
Tabiat aur Nafs ka Chhodna
Is raaste mein insaan tabiyat ki cheez ko chhod kar jaata hai lekin
tabiyat aur nafs ko nahin chhod sakta nafs jis tarah apni cheezon men lagaataa
hai isi tarah doosri bhi apni airdee lagaaye beghair nahi rahegaa nafs saath hai shaitaan saath khawaah kitni
cheezen bhood kar jaayen ye donon saath hain -
aur yahi khatrah ki baat hai – ab
ye mujaahidah kaa kaam hai ke ham chaukune rahen aur in donon se bache rahen .
Agar mazdoori karni hai to subah
se sham tak ghis ghis kar itnaa hi milega
jitnaa kaam karenge . lekin agar bahaanaa talaash kar rahe hain to
? mojaahidah karna hoga nafs aur
shaitaan ke fareb se bachnaa hogaa.
Allah Tala dene k liye Bahana Dhondhte hain
Masjid-e-nabwee sallallahu alaihi wasallam ki taameer ke waqt turkon ne elaan kiyaa
ke jo masjid men haath bhi lagaadega us ko poore din ki ujrat dee
jaayegi to log apne doodh peete bachche
ko lekar aur unkaa haath lagwaa kar poore din ki mazdoori le jaate the – ye to insaanon ki misaal hai –
insaanon ko Allah paak se kiaya , Allah taalaa dunyaa chahe to un ke bahaane ke
kiya kahne , who mehnat ke waste mehnat
nahin karate balki dene ke liye bahaanaa banaane ko mehnat karaa rahe hain
-
Ummat ke saath khaas Mamla
ye ummat-e-Mohammadyaa sallallahu alaihi wasallam ke saath khususi mamla , hadees shareeef men aataa hai k 1
shakhs ne kuchh mazdooron ko zuhar tak kaam par lagaaya – unko unki mazdoori
poori poori de di, 2re mazdooron ko
zuhar se asar tak lagaa diya, unko bhi
itni hi mazdoori de dee, 3re mazdooron
ki asar se maghrib tak lagaaya , unko sab se ziydaadah ujrat dee – halanke
unka waqt bahut kam tha ,ye
ummat-e-Mohammadyaa sallallahu alaihi wasallam hai.
Allah paak ham ko den eke liye bahaanaa banaane ko karaa rahe hain karne ke liye nahi karaa rahe hain ,bas is
kaam ko karne ki teen pahluon ki shubahat paida ho jaa ye – huzur aqdas
sallallahu alaihi wasallam ne saari namaaz
padhee , taangon par warm ho gayaa – ham ne agar pichhlee raat chaar rikaat
bhi padh lee ,to huzur aqdas sallalaahu alaihi wasallam se shubaahat ho gayee aur saaree raat ki ibaadat kaa sawaab mil
gayaa ,jab panch mint unki shubaahat huee.
Ye safar khudaa ki dahash walaa safar hai saare kaam karne waalon ke
liye ye kaam ek bahaanaa hai ham se mehnat lenaa mahaz dene kaa ek bahaanaa hai
– ab is men zaroori hai ke unko khush karden ham par bhi ye karam hai ke
sahaabaa rizwanullahu ajamaeen kaa pachaaswaan hissa bhi kar len to who khush
ho jayenge aur who denge jo sahaabaa ko diyaa
- ham ko Allah se faisle karaane hain jaise sulah-e-hadeebyaa men faisle
hue the - dekhne men ye ke ham dab gaye
hamaari naak kat gayee lekin haqeeqat men woh fatah-e-mobeen thi kiyoun ke
khudaa kee baat poori ho gayee aur is par Allah paak khush ho gaye aur sahaabaa keraam(R A) ne apni tabiyat par khawahish ke khilaaf
qaabool paa liyaa phir beghair zaahiree
asbaab ke Allah paak ne oonche oonche sahaabaa(R A) islaam
mein daakhil kiyaa – hazrat umar wa ibnul aas(R A) aur hazrat khaalid bin waleed(R A) ke aane ke baad charwaahe ne bhi kahaa ke
makka ki kunjiyaan hamaare haath men aagayeen.
Allah ke raasete mein nikalne ka tareeqa
Allah ke raaste me nikalnaa beghair tabiyat ke nahi hota , har moqaa par
tabiyat chalegi bas isko dabaana hai kufr
ki , shikast ki , aslee cheez
apni tabiyat ko dabaa jaane par qaadir ho jaaye sirf isee sifat ke saare
kuffar shikast khaa jaayenge.
Tabiyatien hazrat khaalid(R A) ko chaahti thin lekin unko maazool kar diyaa
sahaaba(R
A) ko saari umr apni tabiyaton ko dabaanaa padaa
hai jab tak woh aise rahe to ijtimaa baaqi baaqi rahaa aur doosraa ansar
ghaalib ho gayaa to ijtimaa toot gayaa . khufyaa dushman andar se mashware dega
aur tabiyat ko ubhaarega.
taa-at aamaal-e-saalehaa ko unko
tarteeb se karne kaa naam hai- taaqat woh banegi ke apni tabiyat ko dabaa kar
cheez ko Allah ka hukm hai usko Karen Allah ko khush karne waali cheez ye hai ke apni tabiyat ko
dabaa kar hukm ki lain se kaam kiya jaaye – tum ummat-e-Mohammadyaa sallallaahu
alaihi wasallam ke imraaz aur
pareshaaniyoun kaa ilaaj ho , basharte ke tabiyat ko dabaa kar chalo – aaj
anqaa ye hai ke Allah ke deen ke buland hone ke liye apni tabiyat ko dabaa kar
aapas men jud jaayein ham mein ye ikhlaas ho ke Allah kaa kaam aur deen kaa
kaam saare aalam men chal jaaye tabiyat ko dabaa kar mashwaron se kaam kiyaa
jaaye - agar mashwarah na kiya jaaye yaa mashwarah naa
manaa jaaye tab bhi tabiyat ubhregi
hazrat abu aiyoub ansaari(R A) ke ameer
yazeed aur abd.ul-malik bane to
woh deen
ke liye na nikle, phir saari umr rote rahe ke mujhe ameer se kiyaa lenaa
tha, main kiyoun Allah ke raaste me na
gayaa , imam hasan(R A) aur imam Husain (R A) aur imam jaafar(R A) sab
ki sab yazeed ki imaarat me nikle aur abd-ul-malik ki imaarat me phire hain.
Allah
ke raaste mein nikalne ke faide
Jo Allah ke liye istemaal hone waalaa ban jaye aur apni tabiyat ko todne
walla ban jaaye to us par Allah ki rahmaten aayengi jo unmein awwal no hoga to
uski wajah se saari jamaat Allah ko piyaari hogi tum ye kaam karoge Allah
taalaa doosre naqshon ko apni qudrat se badal denge.
Aaj musalmaanon se ye shuoor nikal gaya ke kis kaam mein hamari aafiyat
hai aur kis mein halaakat Allah taalaa is shuoor ko badal denge agar
tum iska sabab ban gaye to aakhirat mein huzur
aqdas sallallahu alaihi wasallam
ke khaas men tumhaaraa shumaar hogaa -
kiyoun ke jo log ummat ke fasaad ko door karne ke liye istemaal honge unko huzur aqdas sallallahu alaihi
wasallam se mushaabihat ho jaayegi,
jitnaa tum kar sakte ho agar itnaa kar lo to Allah taalaa uske darwaaze
kholenge jo ham nahi kar sakte , waqt
apna is tarah guzaaro ke Allah ko tumhaara
nikalnaa pasand aajaaye- madeenaa monawwarah se nikalna bahut qeemti
hai.
Kaam kaa saaraa naqshaa jab qaaboo men aayega jab saari jamaat ko majmooei taur se apni
tabiyat dabaani aajaaye.
Ek baadshaah ka waaqiaa
Ek baadshaah apne mahal me soyaa huaa tha – aadhi raat ke waqt
uski aankh khulee aur dil men apne khazaanon ko dekhne ki khahish paidaa huee , usi waqt uth kar chabhiyan
lekar khazaane ko khol kar unhon ne jab sone chaandi ,laal-o- jawaahar ko dekhaa jo chamak
rahe the to dil men khiyaal aayaa ke ye khazaanaa to meri das(10) pushton tak ke liye kaafi hai baadshaah ki ye baat Allah ko pasand naa huee
aur baadshaah ko dikhaane ke liye balke
poore insaanon ko samjhaane ke liye wazeer ki bhi aadhi raat ko aankh khulee
aur khayaal huaa ke mai ne hisaab ke liye asar ke waqt khazaane ko kholaa
tha lekin yaad nai ke main ne darwaaze
ko khulaa chhoda tha ya band kiya tha
usi waqt chabhiyan lekar jab khazaane ke paas aayaa to darwazah
khulaa hua tha andar jaaye beghair hi
darwaaze ko band kiya –
Baadshaah khazaane ke andar hi band ho gayaa subah jab baadshaah darbaar
ko nahi aayaa to wazeeron ne mahal ke andar paighaam bhejaa, lekin mahal se
jawaab aayaa ke baadshaah aadhi raat ke waqt mahal se nikle hue hain aur hamen koyee pataa hi nahi ke kahaan gaye
hain- bahr-e-haal bahut dinon tak talaash kiyaa , magar koyee pataa
nahi chalaa- pandrah(15) bees(20) dinon
ke baad jab khazaane ko khola to baadshaah murdah haalat men khazaane ke andar
padaa hua milaa aur saath ek parchaa likhaa huaa padaa tha ke jo dunyaa ke sone
chaandi aur jawahiraat ke saath dil lagaa letaa hai us kaa hashr
mere jaisaa hogaa – jaisaa ke meraa
huaa—
Allah paak ki madad utaarne
ke liye 3 cheezein ikhtiyar karni hongi –
1.
Taqwaa
2.
sabr
3.
duaa