Qurbani-tamaam pareshaniyoun kaa ilaaj hai
(Umoomi bayaan )
(Dhaaka mashriqi paakistaan men hazrat maulaanaa mohammad yousuf saahab(R A) ki taqreer)
Mere bhaiyou aur dosto:
Dunyaa mein jitney bhi musalmaan hain woh sab ke sab apni jaghon par
pareshan hain aur aaj dunyaa mein kahin aisi aqliyat aur aksariyat nahi ke
chand sau musalmaan hon, majmooei taur
par ghair muslim saaree dunyaa ke musalmaanon se do gune hain – bahut badee
aksariyat men hukumaton , faujon aur
asbaab-o-wasaail ke saath musalmaan hain
aur maadee taur par chamakne ke saare saamaan maujood hain, lekin uske baawajood
har jagah ke har tabqaa ke musalmaan pareshaan hain.
muslamn
ki preshaniyoun ki wajh
pareshaani in sab ke liye ek shu-aar ho gayee - pareshaniyoun ke ehsaas ke tareeqe mukhtalif
hain.
kuch dinee nuqtaa-e-nazar se pareshaaniyoun ko qeyaas karne waale hain –
Tijaarat , ziraa-at, san-at,
hukoomat ke eitebaar se bhi
pareshaaniyan sochi jaa rahi hain aur
har tabqa mein pareshaani se nikalne ki
tadbeerein ki jaa rahi hain – riwaaj ke
mutaabiq jo samjh mein aaye uska ilaaj karnaa chaahte hain –riwaaj ke eitebaar
se tareeqe ikhtiyaar karte hain jo
mazeed pareshaani kaa sabab bante hain –
Aaj mehnaton kaa rukh haq taalaa shaanahu ke madad ke usool par nahi ,
balke un ko chhod kar riwaaji tareeqon
par hai , haq taalaa shaanahu musalmaanon ki aankhen khol deen aur wo riwaaj par se mehnaten hataa kar Allah ki madad ke usoolon par le aayein to ye
waadah hai
: کم من فئتہ قلیقلۃ غلبت فئۃکثیرۃباذن اللہ
kitni kitni chhoti jamaatein badee badee jamaton
par ghalib aajayen aur unke muqabil ko ghutne tekne parein ,
chhoti jamaat se jis waaqia ki
taraf se ishaarah hai us mein 313 the ,
hazrat ibraahim alaihissalam ke saath bhi 313 the aur hazrat mohammad sallallahu alihi
wasallam ke saath teen 313 the hunain mein
taadaad sau se bhi kam hai , sau jo the woh 12000 par ghalib hain , hadees
shareef mein aaya hai ke 12000 aqliyat
hone ki wajah se maghloob nahi honge aur wajoohaat se barah karod bhi maghloob ho sakte hain woh wajoohaat jin ki wajh se maghloob honge
who rewaaji tareeqe hain , hamaraa aslee kaam rewaaj se nikal kar aslaaf ke
tareeqe par qurbaani denaa.
ham to honge qurbaan aur doosri ki zindagi banegi –
hamaari kaamyaabi hogi ke hamaari
qurbaani ummat-e-mohammadya sallallaahu alaihi wasallam ke pareshaaniyoun se
nikal kar jaane kaa sabab ban gayee – hazrat ibraahim alaihissalam aur hazrat
haajrah alaihis salam aur hazrat ismaaeel alaihissalam ki qurbaani par
ummat-e-mohammadyaa sallallahu alaihi wasallam ka wajood ho gayaa ,yahi unki
kaamyaabi hai hazrat mohammad sallallaahu alaihi wasallam ki kaamyabi kiya hai aur unke saathiyoun ki
kaamyaabi kiyaa hai ?
hazrat ibraahim alaihissalam ne jo kuch ummat ke
liye qurbaani de kar Allah se maangi thi unhon ne qurbaani dekar aisi ummat kaa
wajood karaa liyaa – jo ummat wajood
mein thi hi nahi _
pareshaaniyoun ke
khaatmaa ki soorat kiya ?
aur pareshaaniyoun
ke wajood me aane ke asbaab kiya hain ?
hazrat mohammd sallallahu alaihi wasllam ke
usool-e-zindagiyoun se nikal gaye is waaste ham pareshaan ho rahe hain naa
zindagi mein usool , naa ilaaj mein usool jitni mehnat badhate hain utni hi be
usoolyan karte hain - jitni hi be usoolyan badhengi itni hi pareshaaniyan badh rahi hain , aaj mehnat karne se maslaa
aur ziyaadah ulajh rahaa hai jaise shikaar jaal ke andar jitnaa phud phudataa
hai aur ziyaadah phanstaa hai ham ko
pareshani se nikalne ke liye ziyaadah aadmi nahin thode aadmi darkaar hain –
qurbaaniyoun ki kuchh seedhyaan hain ek aadh
maslaa mein qurbaani denaa ye
qurbaani kaa mafhoom nahi hai asal ye hai ke tamaam maslon mein qurbaani ki
tamaam seedhiyon se guzar jaanaa aur us ki chhat par pahunch jaanaa agar sau
yaa teen sau terah bhi pahunch jaayenge to tamaam ummat ki pareshaani door ho
jaayegi woh aadmi jo har seedhee ko par kar jaayen dar kaar hain – hamaare kaam
karne waale youn sonchte hain ke wo teen chille de dein halan ke teen chilla
to qurbaani kee pahlee seedhi hai
qurbaani mein taraqqi kaise hogi
jo aadmiyoun ne qurbaani par qadam uthaaya hai un ka har agla qadam unko mazeed
qurbaani par daal de _
jitni qism ki pareshaaniyan aur mushkilaat saamne
aati hain itne qism ke eitebaar se
intezaamaat saamne aate hain
qurbaani ke baad qurbaani kaa mutalbaa aur qurbaani ke baad jo mushkil
aayee uskaa hal ye ke mazeed qurbaani dein , ye saari dunya masaaib-o-hawaadsaat aur pareshaaniyoun
kaa hal hai har kaam karne waalaa ye sonche ke mujh ko qurbaani ki choti par
pahunchnaa hai wo ummat-e-muslimaa jin ki pareshaaniyoun ke tasawwur se aap sallallaahu alaihi wasallam roye hain
aaj woh hamaare saamne pareshaan hain
aur hamaaraa qurbaan ho jaanaa ,is ummat ki saari pareshaaniyoun kaa
ilaaj hai –
Aap sallallaahu alaihi wasallam ke saamne ek chor
laayaa gayaa Aap sallallaahu alaihi wasallam ne farmaayaa iske haath kaat do,
aur aap sallallaahu alaihi wasallam ka
chehraa zard ho gayaa jaise khoon hi nahi hai aur aankhon se aansoo bahne lage_
Sahaabaa ne arz kiya aap pareshan hain aap sallallaahu alaihi wasallam ne farmaayaa haan
mere ooper ye kiyoun naa shaaq guzre ke tum sab ke darmiyaan me mere ek
ummati kaa hath kaataa jaa rahaa hai arz kiyaa phir aap hukm naa dete –
farmaayaa woh bad tareen hakim hai jiske saamne khudaa ki h ad pahunche aur woh
usko pooraa naa Karen- tum ne apne bhaai ki madad na ki , ise mere paas kiyoun laaye , tumne khud hi
inko kiyoun naa samjhaa liyaa ,tumne shaitaan kaa saath diyaa , jis nabi-e-paak
sallallaahu alaihi wasallam ke dil mein ummat ke chor ke muta-alliq ye kheyaal
ho , to poori ummat ke baare me kitnaa
kheyaal hogaa, jab chor tak par ye raham hai to unke dil ke andar unki ummat
har haalat mein gheer kiye hue hain woh
apni ummat ke har aadmi kaa bhalaa chahte hain fasaaq ka bhalaa chahte
hain zindagi poori qurbaani mein guzaar
dee _
Goyaa unki zindagi ke saare masle qurbaan hue
hain apne mota-alliqeen ke maslon ko
qiyaamat tak ke liye qurbaan kar diya ,
jo hamse mohabbat kare woh balaaon ke liye taiyaar ho jaaye jis
tarah koi cheez pahaad par se phenki
jaaye ,isi tarah har mohabbat karne waale par balaayen aati hain , musalmaano mein mustaqil aamd ki soorat
zakaat hai , aur aaj hukoomatein tak is
laalach mein hain ke zakaat ko lekar kharch Karein lekin huzur sallallaahu
alaihi wasallam qiyaamat tak ke liye apne ghar waalon ko is se mahroom farmaa
gaye –
Hazrat haaris(R A)
aur hazrat abbaas(R A) donon ke
bachche jawaan hain aur shaadi ke liye
maal ki zaroorat hai donon ke baapon ne apne beton ko zakaat ke shobon me kaam
karne ke liye pesh kiya ke inko bhi kaam karne se kuchh mil jaayegaa - baat kaan men padte hi aap sallallaahu alaihi
wasallam ne chhat par nigaah daali , aur chup chaap bahut der tak sonchte
rahe youn sonch rahe honge ke ye
ummat-e-saiyadon ko too kiya degi ek
zakaat thi wo bhi band kar ke jaarahaa hoon –
woh farmaate hain ke aap
sallallaahu alaihi wasllam ne itni khaamoshi ikhtiyaar ki ke ham samjhe ke
huzur sallallaahu alaihi wasallam jawaab
hi na denge - woh jaane lage to
hazrat umm-e-salmah(R A) ne unko
rokaa aur khams men se unko kuchh de
diya aur waheen unke nikaah karaa diye –
unki badaulat logon ne maze ki
zindagiyaan guzaari hain lekin khud unko kuchh nahi milaa-
Damad ko kahgaye ke apnaa gala katwaa denaa lekin teri wajah se kisi kaa gala na kate- hazrat usmaan(R A) par faaqaa pad rahaa hai piyaas see buraa haal hai logon ne kahaa
muqablaa kar ke dushmanon ko khatam kardein
Aap(R A) ne farmaayaa meri wajah
se kisi kaa gala na kate – biwee ko paani ke liye bhejaa khud rozah ki niyat
kar lee , hazrat usmaan(R A) ko khaab
mein ziyaarat huee arz kiyaa ke huzur
sallallahu alaihi wasallam aap ki ummat ne pareshaan kiyaa hai main ne bahut
takleef uthaayee , Aap sallallaahu
alaihi wasallam ne farmaayaa bas ab hamare paas aajaao - ek raat ko khaab dekhaa aglee raat ko
shahaadat ho gayee , Aap ko maaloom hai
meri ummat ameeron ke saath kiyaa karegi
lekin huzur aqdas sallallahu alaihi wasallam barabar ummat ke liye qurbaaniyan karte rahe-
Arfaat mein duaa maangi pahle nabi aate rahte the
shaitaan se muqaablaa hotaa rahtaa thaa ab nabi nahi aayega shaitaan ke panjaa
mein phans na jaaye meri saari ummat ki maghfirat kar de duaa qubool kar lee ,
saari ummat ki maghfirat kar dee, sewaaye zaalim ke - Aap phir duaa karte rahe ke zaalim ki bhi
maghfirat kar de muzdalfaa ki raat woh duaa bhi qubool ho gayee –
Do maslee hain ek meraa ghar , ek hazrat mohammad
sallallaahu alaihi wasallam ki ummat , agar saari ummat kaa mslaa ghar ke baraabar bhi nahin to ye deen kaa kaam kiyaa karega – apne ghar waalon ki bhook ki wajh se maaraa
maaraa phir rahaa hai - aur ummat ki
koyee fikr nahin - ek to hai qurbaani
denaa aur ek hai qurbaani ko mokammal karnaa aur apni zindagi ko takleef mein
daal denaa , jab deen ki mehnat karoge to ek to kaam ke taqaaze honge aur ek
ghar ke taqaaze honge – qurbaani ye hai ke mehnat karte rahein – apne jitney
taqaaze aate rahein aur uske liye jitni shaklein sooratein saamne aati rahein unke ooper thook kar deen ke liye qurbaani
dete chale jaayein-
Hazrat ibraaheem alaihissalaam ki zindagi uthaa kar
dekho , insaan ke apne jitni qism ke masle hote hain aur unke eitebaar se
insaan jo kuchh karnaa chahtaa hai us sab ko chhod kar woh kar rahe hain , jo
khudaa taalaa chahte hain susaitee aur maqaam
qurbaan hue – sham ko chhodaa qaum ko chhodaa bachche kaa aur bachche ki
shaadi kaa maslaa bhi qurbaan huaa _
Kaamyaabi ki soorat kiyaa
hai ?
Ye ke tum ummat ki tamaam pareshaaniyoun kaa hal is
kaam mein samjho ifteraaq paidaa hogaa
qurbaani ki kami se ijtimaa tootega qurbaani ki kami se har waqt jo zarooraten
aayengi agar woh poori na ho saken to iski wajah se niklegi , qurbaani
ki kami choti par woh pahunchega jo ye sonch kar qurbaani karega ke meraa
mauzoo hai ke main qurbaani ki is shart ko pooraa kardoon jo is ummat ko
masaaib se nikaalne ke liye zaroori hai ,
isee par pooraa maashirah badal jayega_
Maal waale , hukoomaten ,taajir , ameer yaa aksariyat kabhi bhi sabab
nahin banenge - ummat ki pareshaaniyoun ke khaatmah kaa sabab
woh banegaa jis ne apne ohde apni izzat apne
aazaa-o-aqaarib apne dost-o-ahbaab apnaa maal apni jaan qurbaan karnaa
aajaayegaa- ye sabab banega maal waalon
hukoomat waalon ki pareshaaniyoun ke door hone kaa-
Qurbaani ki
bunyaad mehnat ke raaste hain – doosre ke mosibaton se nikalne ke liye
apne ko mosibaton men daalne ki bunyaad par ek kaam hai uski bunyaad qrbaani par hai maal-o-jaah raahat aaish
jitney masle ghar walon ke hain woh yahan qurbaan hain shaabaa(R A) ke andar bade darjah waale jo hain woh apni
har shaq ke eitebaar se khoob qurbaani waale hain ye nabyoun ke shobon ke
inssan hain jin ki takleefen uthaane ki
wajh se ab tak ham chal rahe hain , hamaara wajood unko qurbaaniyoun par h ai
lekin haq taalaa shaanahu qurbaaniyoun
ka tasalsul chahte hain taa ke ummat ki mushkilaat door karte jaayen hazrat
ibraaheem alaihissalaam ,hazrat ismaaeel alaihissalam ,hazrat yousuf
alaihissalaam un sab ki tarah qurbaani dene waale hain – hazraat-e-sahaabaa
keraam®ummat kaa wajood to hai aur qeyaamat
tak chalegaa lekin is ummat ko mosibaton se nikaalne ke liye Allah paak
ne qurbaani ko shart qaraar diyaa hai –
Hukoomat men jo ahkaam hain - agar Allah taufeeq den aur woh un ahkaam ko
pooraa kar den qurbaaniyan de kar to in hukoomat waalon ki pareshaaniyan door
ho jayengi hukoomat aur taaqat se nahi
balke qurbaani se hoor hongi qurbaani
kaa ek zarrah bhi hogaa to itnaa ziyaadah milegaa ke aap hairaan rah jayenge ke khudaa ne kiyaa de diyaa – lekin
masaail zarrah bhar qurbaani se hal
nahin honge – is ke liye poori qurbaani deni hogi – baatil to chaltaa hai
khaahishaat ke pooraa karne ke saath aur haq chaltaa hai khaahishaa ki qurbaani
ke saath _
Quraan paak ki ek aayat hai jiska tarjumaa ye hai _
Insaanon men auraton ki maaliyaat ki saaz-o-samaan
ki shahwaat hain baatil zindagi to usse
chalegi ke auraton ke haasil karne me khoob mehnat Karen -_
Hadees shareef men aata hai ke jannat ki auraton ko
chaahe jitnaa kapdaa pahnaa do , unkaa husn nahin chhupegaa , inse to ye nahi
ho sakaa kapde pahanne waaliyan sangiyaan bana den , baatil to is se chalegaa k
eek mint ke liye bhi isko malaal na pahunche – baatil auraton men lagaayega
unki lazzaat me lagaayegaa – baatil to maal se auraton se dokaanon se
jaaidaadon se badhegaa lekin haq taalaa
shaanahu hain _
"ابنئکم بخیر من ذاٰلکم "
Kiyaa
hain is se behtar baat na bataao woh ye
ke dunyaa ke aaish ko aur shahwaton ke poore hone ko tum aakhirat par daal do
- aur yahan thode se mahnati aur
muttaqee ban jaao jis tarah sahaabaa keraam(R A) ne saaree khaahishaat chhod deen- aam log hazrat umar(R A) ke zamaane ko fatoohaat aur maal ke liye yaad
karte hain jab qaanoon bantaa hai to
uske aaish par nigaah jaati hai aur teks lagtaa hai to hazrat umar(R A) yaad aate hain lekin woh aur doosron ki
shahwaton ko pooraa nahin karte the – hazrat mohammad sallallaahu alaihi
wasallam ke ahkaamaat ke saath ek baat chahnaa aur poori karnaa to hai taqwaa- aur unke ahkaamaat ke khilaaf aur baat chahnaa
fisq hai , hazrat umar(R A) ke daur men kiyaa hai? Khood muttaqi bane aur
jis haath men lagaam dee use bhi muttaqi banaa diyaa - governaron
ki pitaaiyaan ho rahi hain -
muttaqi banne ke paanc (5) juzw hain –
1.
saabireen ; yaani
khaahishaat par sabr karne waalaa
2.
saadqeen ; yaani
pahle ke naqshon par poore utarne waale
aur har waqt ki takmeel karne waalaa ban jaanaa aur uske muqaabil ki
khaahishon ko qurbaan karnaa
3. qaaniteen; yaani jaan dene ke ahkaam ko
bajaa lanaa
4.
munfaqeen; yaani maal den eke
ahkaam par poore utarne walaa
5. mustaghfireen; yaani gunaah na karnaa aur apne ko gunaahgaar
qaraar dekar maafi maangnaa.
Ye hi
muttaqee hai . is kaam ko phailaao ek iskaa gahraao h ai jinhon ne apne ko is kaam men lagaayaa hai
unkaa qurbaaniyoun ke naqshe par pooraa
utarnaa, jadon ke saath phalon
tak kaa raabtaa maujood hai ,
qurbaaniyaan rang laayengi – ek
kaam hai aur ek kaam karne waalon ki
qurbaaniyaan hain , log samjhte
hain ke kaam se islaam zindah ho jayega
, khaahis ko pooraa karne waalaa to qurbaani kahan huee - qurbaani na huee to deen kahan hai aur deen nahin to masaaib kaise door honge – raahaton men qurb nahi hai
, takleefon men qurb hai Allah aur uske
rasool sallallaahu alaihi wasallam ka _
Ek qurbaani denaa hai aur ek qurbaani dete rahnaa – qurbaani dene
par daakhil jannat hoga – aur qurbaani dete rahne par asal faisle honge - انفروخفافاًوثقالا
"
Ke tarz par qurbaani karnaa main lakhon karodon ko nahin kahtaa unke baare
men to faislaa karaane hain faisle
karaane ke liye chand senkdon ki zaroorat hai -
hamaari maut qurbaani par aaye , khaahish par na aaye , qurbaani hi se
banglaa ki naueiyat sahih sahih paidaa hogi , qurbaani paidaa hogi to ekraam
hogaa jahaan jaanaa chaahen wahaan
pahunchenge chaahe ghar waalon ko jitni takleefen pahunchen, ham pooraa waqt denge jitni zaroorat ho, qurbaaniyoun ke beghair rang nahi laayega
, kaam soorat aur iski seerat iski taaqat
ghaibyaa is kaam ke zel men qurbaani dena hai -
taaleem ke waqt men taaleem karni hai tasbeeh ke waqt tasbeeh , gasht ke
waqt gasht karnaa hai , chaahe kuchh ho jaaye
jab tum is kaam ke karne ke baad is kaam ke qubooliyat ke sharaait ko
pooraa karoge to faisle honge –
Jin ki khajooron par saare arb
ki mehmaani huee jin ki zameenon par saare mohaajir aakar thahre , jinke gharon men saare arb aakar
thahre aur huzur aqdas sallallaahu
alaihi wasallm ki paak biwyaan raheen unse youn kah diyaa ke tum ko milegaa
hauz-e-kausar par –
Ghuroor men aajaanaa ke ham
men taaqat hai ham ye karenge maut kaa aajaanaa hai hunain ke waaqiaa men tarbiyat hai , hunain men qabeelaa hawaazan ke saath
takkar hote hi sab bhaage , sirf baarah (12)
rah gaye un men
akaabir-e-sahaabaa(R A) hain - ab hazrat abbaas(R A) se kahaa ke oonchi aawaaz se یا
معشرالانصا یا معشرالانصار kaho - ansaar daude aaur sau aaye - barah sau (1200) ko bhagaa diyaa sau ke zariye se ye batlaa diyaa
ke karne waalla main hoon , maal bahut saa aayaa taqseem mein saaraa makkaa
waalon ko de diyaa - ansaar ko kuchh
nahin milaa, us waqt ansaar par kiyaa
guzree hogi ke kaam to Karen ham , aur maal diyaa jaaye doosron ko –
Hazrat sa-ad bin oobaadah®aaye aur kahaa ke meri
qaum kiyaa kah rahee hai - jab ladaayee
ka waqt aaye to Ae ansaar ; Ae ansaar: aur jab taqseem kaa waqt aaye to aa meri
qaum aa meri qaum - farmaayaa kiyaa kahte ho. Kahaa main bhi qaum
ka ek fard hoon ye farmaayaa qaum ko jamaa karo - chunanchah qaum ko jamaa kiya , Aap
sallallaahu alaihi wasallam ne farmaayaa
Ae ansaar ; kiya tum ye pasand nahin karte ke ye log apne gharon ko maal
lekar jaayen aur apne gharon ko Allaah ke rasool ko lekar jaao - Aap sallallaahu alaihi wasallam bhi bahut
roye aur sahaabah (R A) ko bhi khoob
rolaayaa Aap sallallaahu alaihi wasallam par kiyaa guzarti thi Aap bahut der
tak rote rahe Ae ansaar ; log mere ooper
kaa lebaas aur tum mere andar kaa lebaas ho ,
andar kaa lebaas hifaazat ka hotaa hai ummat ki hifaazat tum se hai aur
meraa ziydah qurb tumhaare saath hai agar ansaar ek waadee mein chalenge aur log doosree waadee mein chalenge to main ansaar waalee waadee mein chalunga –
Aap sallallaahu alaihi
wasallam ke saamne tha ke mere ansaar ke
oopar mere baad kiyaa guzregi , ehsaan kaa ehsaas aur uskaa badlaa jitnaa Aap
de gaye itnaa makhlooq mein koyee de
nahi saktaa- Ae Allaah ansaar ki
maghfirat farmaa, inke beton , poton aur ghulaamon ki maghfirat farmaa –
Gharz khoob kaam karnaa aur
aakhirat mein lenaa ye unkaa mizaaj banaadiya tha - farmaayaa ke mere baad maal mein doosron ko
tumhaare oopar tarjeeh dee jayegi - banee
qareezah waghairah ke maal ki taqseem aayee huzur aqdas sallallaahu alaihi
wasallam ne farmaayaa ye zameen doosron ko de do – tum ne jo diyaa hai woh
waapas le len ya sab mein baraabar taqseem kar lein - na ye lete hain na waapas lete hain hamaaraa Aap kaa maamlaa jannat par hai ham
jo kuch Allah ke naam par de chuke woh de chuke , wapas nahin le sakte ab jo
aayaa hai use mohaajreen ko dilaa dijyee -
ansaar aao jee aao jee jo
mangoge main Allah se kahunga aur jo
Allaah se kahunga wo de denge – phir unhon ne mashwarah kiya aur kaha hamein to
aakhirat mein chahiye maghfirat ki duaa
farmaa dijye jo musalmaan ke intehaayee
urooj ka waqt tha - us waqt ansaar ke
gharon mein faaqe pad rahe hain – log doosron ki qurbaani karne ko
qurbaani kahte hain aur woh qurbaani
apni zaat par hai - eemaan aur eemaan ke
tareeqon ko qaaim kar ke dikhlaa do -
apne masaail ki qurbaani ke saath qurbaani ki lambi chaudee kitaab hai
. har moqaa par jo kaam karnaa chahiye
woh kaam karnaa aur apne masaail ko qurbaan karnaa qurbaani ki ek aadh shaq
nahin hai , is kaam kaam ke bade usool hain
bade nazaakatein hain agar doosre
shobon ko youn kahdein ke inki zaroorat nahi to ye baat adaawaton kaa sabab
banegi - aur agar youn kahdein ke ye sab zarooree hain Allah sab ko chaladein
aur jin qurbaaniyoun par ye chalte hain un qurbaaniyoun par ye chalte hain un qurbaaniyoun ki hame taufeeq dein to ye
baat mehnaton ka sabab banegi zubaan ki zaraa see bad unwaani bade bigaad kaa
sabab ban sakti hai , apni apni jagah ki thodee thodee deendaari par dhoke mat khao - laa deenee aur alhaad ke toofaan aur jaghon
se uth rahe hain jahan se tauheed-o-irfaan ke samundar chala karte the - aaj shaitaan ki ma-aashirat chal rahi
hai jahan se hazrat mohammad sallallaahu
alaihi wasallam ki ma-aashirat chali
thi-
Aap sallallaahu alaihi
wasallam ne apni aankhon se shaitaan ko dekhaa hai - Allah rabb-ul-izzat ne farmaayaa ye meraa
khaleefaa hai ise nawaaztaa hoon ise
sajdah karo , usne aazaaz waalaa nahi
samjhaa - shaitaan ke dhatkaare jaane ki
wajah se insaan hai , nawaaze hue ke
saath mil jaaye to chalo iskaa qasoor maaf kardein nahi . farmaaya jo tere
saath mil jaayega to teri tarah dhatkaaraa huaa ho jayegaa , ye aap ki hayaat
nahin chahtaa - aap ke gharon ke andar
aagen lagwaanaa chahtaa hai – huzur aqdas sallallaahu alaihi wasallam ne
chaubees (24) ghante ki ma-ashirat men shaitaan se bachne ke tareeqe batlaaye
hain , paakhaane men jaao ye bad felyaan
karta , jangal men jaao ye logon ki be pardagi ke liye laata hai , iske liye
farmaayaa ke pardah ki jagah jaao warnaa ret ki mander banaa lo aur ye duaa padh lo – soya karo to aag aur roshni ko bujhha kar
soya karo taa ke shaitaan aagon ko tumhaare gharon ke andar lagaane kaa
zariaa ba banaaye –
(Khaane par ek aadmi aur
ek ladkee ke aane kaa waaqiaa)
Farmaayaa khudaa ki qasam in
dono ke hathon ke saath main ne shaitaan ko bhi pakdaa hai - kayee sahaabah® kaa waaqiaa raat ko shaitaan
ko pakad liyaa, choree kar rahaa thaa
hazrat abu hurairah waale waaqiaa men dadqaa ki khajooren hain - aur ibne abi ka-ab(R A) ke waaqiaa men zaati khajooren hain hazrat abu
hurairah(R A) waale qissa men hai ke Aap ne subah ko daryaaft kiya ke raat ko
tumhaare qaidee kaa kiyaa huaa? Kahaa
huzr sallallaahu alaihi wasallam ahd kar gayaa hai ab nahin aayegaa , farmaayaa jhoot boltaa
hai ab ke phir aayegaa , phir pakdaa ,
kahne lagaa aayatal kursee padh liyaa karo shaitaan nahin aayegaa, farmaayaa
hai too jhoota , lekin baat sachchi kah
gayaa hai , khaane men shareek hotaa hai ke shaitaaniyat kaa madah paidaa ho
jaaye aur khan thoda ho jaye ghar ke
kewaad bismillaah kah kar lagaayaa karo , to shaitaan tumhaare ghar men daakhil
nahin hogaa—
Ek qism insaanon ki aisi hai
jo shaitaan aur insaan ke mushtarik nutfaa se taiyar hoti hai sooratan insaan
aur khaslat-e-shaitaan- shaitaan ki ek ma-aashirat hai aur huzur aqdas
sallallaahu alaihi wasallam ne uske muqaable mein apni muaashirat ko khadaa kiya shaitaan ki muaashirat ki bunyaad aurat aur maal ke naqshe hain aurat atr wo lagaaye jiski khushboo na ho rang milaa ho jo aurat apne ghar ke
ilaawah saj kar nikle ,woh aurat zaaniya ke hukm mein hai_
Saahab kiyaa karein ,biwee
nahi maanti , nikaah aise ho , makaan aisaa ho , biwee oopar baithi huee hain
woh qaum kabhi falaah nahi paa sakti jo apne maslaa par auraton ko ghaalib kar
de har mulkon men mukhtalif jaghon mein auraton ko bathaana ye khud apne pairon
par kulhaadee marnaa hai shaitaan chahtaa hai ke aurat jis ke zariye janant se nikaala hai aage bhi aurat hi ko istemaal kare k eek aurat se hazaaron ko dozakh mein
pahunchadein - farmaayaa jo do
mard-o-aurat ek jagah ekaththe hon to teesraa shaitaan wahaan hogaa - bhaiyoun khaandaanon , qaumon ki ladaayee
laataa hai aurat aur maal ke raaste se
lebaas mein muqaablah , ghaza mein muqaablah auraton ke zariye se ye muaashirat ki jo be deeni hai aap ki namaaz rozah taaleem ko khatam kar
degi , shaitaan aise muaashirah ko uthaataa hai
ke saaraa maal apne aap lage -
huzur aqdas sallallaahu alaihi wasallam
uske muqaable mein ek muaashire laaye hain - muaashirat ki be deeni jis jagah par aayegi
baaqi saare deen ko le kar doob jayengi , ab masle ye hai ke qurbaani do tab muaashirah badlega , haj mein
tark-e-watan hai , zakaat mein maal kaa kharch karnaa hai saum mein shahwaat ko dabaanaa hai -
Namaaz mein khaahishaat aur
tafakkuraat ko roknaa hai unki bunyaad
kaa muaashirah uthega unaasir arba-ah se kamaayee kaa naqshah taiyaar karo ,
yaani zakaat kamzor hai , kutte aur
suwaron ki see muaashirat ki tarz par
chale jaarahe hain, hazrat mohammad sallallaahu alaihi wasallam jaise khair
khaah ki muaashirat mahboob na ho aur
shaitaan ki muaashirat mahboobho , jab tak muaashirah kaa muqaablaa kataa rahaa
musalmaan phaltaa phooltaa rahaa aur jab
muqaablaa khatam hogayaa to musalmaan bhi khatam hogayaa ,
dushman asal kon hain?
Jiskaa mauhid bannaa mumkin
nahi - kaafir aslee dushman nahin ,
unkaa har waqt imkaan hai ke kalmaa padh lein aur mauhid ho jaayein, ye to dushman ke saathi hain is waste dushman
ho gaye saanp itnaa dushman nahi jitnaa shaitaan dushman hai , abhi dushman kaa
yaqeen nahi, muaashirat ki taraf woh
liye chalaa jaarahaa hai padh lo namaz behtaree dekhi namaaz , muaashirat kaa
ek dhakkaa aayegaa , to sab namaaz
khatam ho jayegi , pahle jo toofaan aayaa, bahut kuchh khatam ho gayaa us se
aglaa toofaan aayegaa , baaqi rahaa
sahaa bhi khatam ho jayega - shaitaan ki
muaashirat mein ghibatein bohtaan hain , aibon ko uchhalnaa , thatthaa
udaanaa hai , phir kadoorton ke oopar
daalnaa hai aakhirat mein to nuqsaan hai
hi dunyaa mein bhi nuqsaan hain , muaashirat ke eitebaar se aaj kaa daur bad
tareen daur hai , kutton soowaron ki taraf muaashirat jaa rahi hai aur ye nahi
jaante ke chake ke andar zahar diyaa jaa rahaa hai , jo mahboob hain khudaa ki
qasam unki muaashirat mahboob hai - aur
jo mabghooz hain unki muaashirat mabghooz hai aapas ki adaawatein aapas ki
kadooratein bahut se raaston se aarahi hain hazrat mohammad sallallaahu alaihi
wasallam ne aapas ki mohabbatein moodtein bahut see raaston se chalaayee thin
- hayaa waali muaashirat to khatam ho
gayee maut waalee muaashirat mein ham
aagaye phirne bhi , qurbaani hogi phirne
mein , kis tara phiro- doosron ki riaayat ke saath ,
afhaam-o-tafheem ke saath phiro , uske andar haq taalaa shaanahu aisaa
karein aur nematon ke darwaaze khol dein
, koyee aakar paanch laakh rope de use lagaao phir qurbaani do ke jee aap aakar
lagaanaa seekh lijye phir khud chalaaiye.
Qurbaani dete hue mulk-o-maal
par thokad maarte hue eemaan ki daawat ke liye mehnat karte hue apne jazbaat ko
qurbaan karte hue har waqt niklo jis tarah apne jazbaat ko qurbaan karnaa
padegaa - doosron ki kharaabi mein wajah
nikaal lo , islaam ki aur apni khoobi
mein wajah nikaal lo apne kuchh na hone ki
hazrat umar(R A) kah rahe ke
khaalid(R A) ko maaro-
Hazrat abu bakar(R A) farmaate hain ke nahin usne musalmaan samjh
kar qatall nahi kiya hai , musalmaan qaraar na dene mein unkaa faislaa ghalat
hai uski biwee se nikaah kiyaa raham kardo -
usne ghair muslim ki biwee qaraar
dekar nikaah kiyaa , faislaa mein ghalti ki to ye doosree baat hai-
Huzur aqdas sallallaahu alaihi
wasallam ki ummat mein kharaabi aajaaye , to sab chhod dete hain apne bachche
ko paakhaanaa ki wajh se nahi chhodte , ikhlaas aur ikraam-e-muslim kaa mafhoom
agar apnaa wajood-e-giraami par kiyaa to khoob joota chalegaa - jo apne ko niyat ke eitebaar se tatolegaa , apni
haisiyat ko apni nigaah mein giraa legaa -
jis ki huzur aqdas sallallaahu alaihi wasallam duaa mangte hain—
Ae mere rab too mujhe apni
baargaah mein pasand farmaa le , Ae mere rab too apne liye mujh ko meri nazron
mein zaleel rakh aur doosron ki mazron mein izzat waalaa kar de - shaitaan isi mein to maraa , ke main ne itnaa
kiyaa aur ye kal kaa bachchaa ,isko mujhse sajdah karaayen.
Tashih niyat kaa matlab sirf
itnaa hi nahi ke jab amal karo to niyat sahih ho - bat ye hai ke shuroo mein niyat theek ki
jaaye aaur aakhir mein khud kharaab qaraar dee jaaye - jo apni nigaah mein haqeer hogaa woh kabhi
shohrat nahin chahegaa , karne mein sahih niyat kar ke karnaa aur karne ke baad
apne aap ko giraa denaa ke main ne theek nahi kiya jab tum taalib ikraam ke
banoge to khudaa tumhaaraa ikraam nahin karaayenge , balke dushman banaa lenge aur agar ikraam
kraayenge to alqaaye shark e eitebaar se ikraam karaayenge –
Main kuchh nahi main kharaab
hoon - jo main ne kiya woh aisaa nahi
kiyaa jo meri kahin pooch lein , poochhne ke qaabil nahin hoon- woh apne karam
se pooch lein – main iski khidmat karun- taa ke khudaa iski wajah se ghaltiyoun
ki wajah se , be unwaaniyoun ki wajah se muslim kaa ikraam karnaa mat chhodo
, do nisbatein(2) hain ,
1- ek to apne eemaan ki nisbat hai –
2- aur ek hazrat mohammad sallallaahu alaihi
wasallam ke ummati hone ki nisbat hai –
Zaroor jannat mein jaayegaa
khaah woh sazaa ke bad jaaye aur chaahe karam kar ke shuroo hi mein pahuncha
dein main to unkaa ummati hone ki wajah
se iskaa ikraam nahin kartaa to kiyaa ghussa n ahin kareinge, namaazi hone ki
wajah se bhi ikraam karo - khush ikhlaaq
hone ki wajah se bhi ikraam karo - aur
kuchh nahin to musalmaan hone ki wajah se bhi ikraam karo- aur apne ko niyat ke eitebaar se giraao aur
doosre ko ummati hone ke eitebaar se ikraam kar ke uthaao - apne ko apni nazar mein giraanaa sahih niyat
hai , doosre ki ghalti nazar andaaz karnaa ikraam-e-muslim hai—
Hazrat umar(R A) gasht kiya karte the , ek boodha tha usko uski
baandi sharaab pilaa rahi thi hazrat
umar(R A) kood kar andar gaye, – usne
kahaa main ne ek jurm kiyaa hai aur aap
ne kayee jurm kiye hain -
1.
ek ye ke hukm hai
ke be ijaazat kisi ke ghar mein na jaao
. aap beghair ijaazat aaye.
2.
ye ke salaam kar ke jaao , aap beghair salaam ke aaye hain.
3.
ye ke darwaaze se aao , aap deewaar phaand kar
aaye .
4.
ye ke tajis mat karo , aap ne tajis kiyaa-
Hazrat umar(R A) rote hue chal diye – darbaar mein kayee din
baad nazar padee , takhliyaa mein bataayaa ke main ne usi din se chhod dee
-
zaid bin raqam(R A) kiyaa pee rahe hain ?
yahi to hai tajis mere se
gunaah ho gayaa iskaa kaffaarah kiyaa hai ?
iskaa kaffaarah ye hai ke is
baat ko dekhne se pahle jo waq-at tumhaare dil ke andar thi , iski woh waq-at
baaqi rahe - ikraam-e-muslim ki baat ye
hai ke apnaa to kisi par ek zarrah ke baraabar bhi istehqaaq mat samjho , ek
doosre ke kaam aanaa to yahod-o-nasaaraa mein bhi mil jaayegaa – woh ek doosre
ke saath nekyaan karte hain nekyaan lene ke liye - jis baat ki wajah se aadmi chahtaa hai ke meraa
ekraam ho – us wajah hi ko khtam kar do – ye bhi qurbaani hogi – sab kuchh
lagaa diyaa – aur kuchh na talab kiyaa- eke k ki qurbaani laakhon ki mosibaton
ke khaatmah kaa sabab banegi , ye cheezon kaa jaadoo khatam ho jaaye aur baatil
toot jaaye iske liye qurbaani kee zaroorat hai - uske aage kaa maslaa ye hai ke jo jitni
qurbaani kaa aadi ho , usse aage ki satah par aaye –
ghazwaye ohad mein jab
musalmaanon ke par ukhde hain -
sahaabaa(R A) ne kahaa , is mein
marnaa hai lekin hamein ye bardaasht karnaa ke jahaan hamein honaa chahiye tha
, wahaan ham nahin—
maseelmaa kazzab kaa daur chal
rahaa tha do qisme hain –
1.
mehnat waale.
2.
tobaa waale –
Aaj kal tableegh waale tobaa
mein ziyaadah hain – yaani wajoohaat par jo chilaa dein - maseelmaa kazzab se muaqaablaa mein donon
jamaa hain- tobaa waalon mein jamaao hi nahi hai - mar ye nahi sakte hain , maseelmaa kazzab ke
muqaablaa mein donon ekaththe hogaye –
Ae abu bakar(R A) hamaari tobah kiyaa hai ?
Farmaayaa tumhaari tobah ye
hai ke jis nabuwwat ka tum ne iqraar kiya tha us nabuwwat se jaakar tum
muqaablaa karo , wahan marne ki wajah se tobah thi , yahan maut dikhlaayee dee
, to yahaan tobah ho gayee - jab log maidaan se bhaagne lage to ek tabqa
puraanon kaa kahne lagaa ke ham se ye
baat dekhi nahin jaati ke jahaan ham ko honaa chaahiye tha wahaan ham naa hon aur wahaan hon jahaan hamein honaa na chahiye -
zaid bin khetaab(R A) aur saalim
huzaifah(R A) ne apne aap ko ghutnon se oopar tak zameen mein dabaa liyaa ,
baaqiyoun ne sochaa ke is tarah maslaa hal nahi hogaa - aawaaz lagaayee yaa یا معشرالانصار
؛abu aqeel ansaari sahaabi(R A) zakhmi pade hue the
khisakte hue wahaan tak pahunche , jahaan se aawaaz lagaayee gayee thi - aur
kahaa ansaar tumne kaam kar ke dikhlaa diyaa thaa , ab phir kar ke dikhlaao .
Chaalees hazaar dushman baagh
mein mahsoor ho gaye - ek puraane hazrat
baraa bin maalik(R A) ne kahaa ke mujhe
andar pheink do , main darwazah kholunga – pandrah ko qatal kiyaa.nawe zakhm
khaaye aaur kewaad khol diye .
Aise seinkdon poori dunya ke
naqshon ke badalne ki gaaranti aur zamaanat apne andar liye hue hain is mein
muaashirat badlegi – aise makaan aise thikaane phir nahi raheinge , sewaaye
marne ke aur swaaye qurbaan hone ke ,
sewaaye islaam aur den ke naqshe qaaim hone ke—
Hazrat umar(R A) ne farmaayaa ke hazrat khaalid(R A) ke dil ki chaah bas ek thi , shirk waale
zaleel ho jaayein , islaam aur islaam waale chamak jaayein-
Hazrat khaali(R A) farmaate hain
main Allaah ki raah ki naql-o-harkat ki wajah se quraan paak pooraa na
padh sakaa , khudaa ke raaste ki takleef ki raat mein jis ki subah ko main qatal kiyaa jaaun woh mazah
aataa hai jo is raat mein nahin aataa , jis mein ek nayee do sheezah mere
nikaah mein aayee ho.
Marte waqt hazrat khaalid(R A)
duaa kar gaye,Ae Allaah ; in buzdilon ko
raat ko neend na aaye , ab qurbaani waale jo duaa kar gaye phir hamaari
pareshaaniyaan kaise door hon - har
aadmi ko apni satah buland karni hai , qurbaani p ar islaam chamaktaa hai ek
qurbaani do naql-o-harkat ke eitebaar se ,ek usool ke ikhtiyaar karne ke
eitebaar se –