Fazail e Amaal par Waswasa (Niche Level ke Banawati ilzamat) Part 6 (Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. ka Waqiye) ki Tahqeeq.
Aiteraaz : Tausif Ur Rehman Sahaab Ne Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. Ke Waqiye Par Aiteraaz Kiya Aur Ilzaam Lagaya Ke Ulama E Deoband Ka Aqeeda Hai Ke Auliya Allah Ko Ilm E Ghaib Hai. (Nauzbillahi Min Zaalik)
Al – Jawaab : Sabse Pehle Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. Pura Waqiya Mulaaheza Farmaaye
Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. Farmaate Hai –Maine Yeh Suna Ke Jo Shaks 70,000 Martaba Laailaaha Illahaahu Padhe Usko Dozaq Ki Aag Se Najaat Milegi.
Maine Yeh Sunkar Ek Nisaab Yaani 70,000 Ki Ta’adaad Apni Biwi Ke Liye Padha Aur Kai Nisaab Khud Apne Liye Padhkar Zaakhira E Akhirat Banaaya.Hamaare Paas Naujawaan Rehta Tha.
Jiske Mutalliq Yeh Mashoor Tha Ke Yeh SAHAAB E KASHF Hai.Jannatdozaq Ka Bhi Usko Kashf Hota Hai Mujhe Iski Sehat Me Tard-Dud Tha.Ek Martaba Wo Naujawaan Hamaare Saat Khaane Me Shareek Tha Ke Dafa’atan Usne Ek Cheekh Maari Aur Saans Pholna Laga Aur Kaha Ke “Meri Maa Dozaq Me Jalrahi Hai Uski Halaat Mujhe Nazar Aayi”
Shaik Qurtubi Rh. Kehte Hai Ke Mai Uski Ghabraahat Dekh Raha Tha.Mujhe Khiyaal Aaya Ke Ek Nisaab Uski Maa Ko Bakhash Du Jisse Uski Sach-Chaayi Ka Bhi Mujhe Tajruba Hojayega.Chunaanche Maine Ek Nisaab 70,000 Ka Un Nisaabo Me Se Jo Apne Liye Padhe The Uski Maa Ko Bakhash Diya , Maine Apne Dil Me Chupke Hi Se Bakhsha Tha
Aur Mere Is Padhne Ki Khabar Allah Ke Siwaa Kisi Ko Na Thi Magar Wo Naujawaan Fauran Kehne Laga Ke Chacha Meri Maa Dozaq Ke Azab Se Hataa Di Gayi.
Qurtubi Rh. Kehte Hai Ke Mujhe Is Qisse Se 2 Faide Huwe Ek Toh Us Barkat Ka Jo 70,000 Ki Miqdaar Par Maine Suni Thi Uska Tajruma Huwa Dusra Us Naujawaan Ki Sach-chaai Ka Yaqeen Huwa.
(Fazail E Amaal : Fazail E Zikr : Safa 387 )
Scan Page :
Wazaahat : Is Naujawaan Ladke Ka Waqia Kashf Ke Mutalliq Hai Jaisa Ke Khud Shaikh Ul Hadees Rh. Ne Wazaahat Ki Hai Ke Ke “ Yeh SAHAAB E KASHF Hai”.
Kashf Aur Ilm E Ghaib 2 Alag Alag Baatein Hai Jaisa Ke Humne Wazaahat Ki Hai.
In Dono Ko Khalat Malat Karke Ek Bataana Tausuf Ur Rehman Jaisa Jaahil Maulwiyo Ka Hi Kaam Hai.
Aur Kashf Ko Humne Quran Aur Uski Tafseer Ki Roshni Me Saabit Kiya Hai.
ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2014/04/03/kashf-ka-suboot-quran-tafaseer-e-quraan-se/
Aur Isi Tarah Kashf Khulfa e Rasheedin se Bhi Saabit hai.
ulamaehaqulamaedeoband.wordpress.com/2014/08/05/kashf-wa-karaamat-aur-khulfa-e-raasheedin/
Kashf Ko Ilm Ghaib Kehne Waalo Se Sawaalaat :
1 – Saheeh Bukhari Me Riwayat Hai Ke Uhud Ki Ladaayi Hazrat Anas Bin Nazr Rdh. Ne Hazrat Sa’ad Bin Ma’az Se Kaha Ke “Aye Sa’ad ! Kaha Jaa Rahe Ho.Khuda Ki QasamJANNAT KI KHUSBO UHUD KE PAHARD SE AARAHI HAI. (Saheeh Bukhari : Hadees No 2805)
Scan Page :
Agar Dunya Me Rehte Huwe Jannat Ya Uske Halaat Ka Munkashif (Zaahir) Hona Ilm E Ghaib Hai.
Toh Hazrat Anas Bin Nazr Rdh. Ko Dunya Me Rehte Huwe Jannat Ki Khusbo Aana ,Yeh Bhi Tausuf Ur Rehman Ke Ba-Qaul Ilm E Ghaib Hai.
TOH PHIR ANAS BIN NAZR RDH. , IS HADEES KE SANAD KE RAAVIYO AUR ISKO NAQL KARNE WAALE IMAM BUKHARI RH. PAR KYA FATWA LAGEGA ?
Note : Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Kehna Hai Ke Dunya Me Rehte Huwa Hazrat Anas Bin Nazr Rdh. Jannat Ki Khushbu Aana , Yeh Kashf Hai. Allah Tala Unpar Jannat Ki Khusbo Zaahir Kardi Hai.
2 – (Hindustaani Jinnaat Ka Imam Ahmed Rh. Ke Daur Me Jannat Ke Paani Ke Zariye Elaaj Karna)
Hazrat Fauzaan Rh. Bayaan Karte Hai Ke
“ Abu Abdullah (Imam Ahmed Rh.) Ko Jab Jail Me Kodo Se Mara Gaya, Toh Kuch Dair Ke Baad Ek Naujawaan Aap Rh. Ke Paas Aaya, Uske Haat Me Ek Shishi Thi, Jisme Mushk Jaisa Khushbo Daar Paani Tha.
(Aur) Teesre Rooz Imam Ahmed Rh. Ke Jism Par Maaro Ke Nishanaat Ubhar Aaye The Aur Saqt Takleef Thi, Us Naujawaan Ne Kaha : Mai Aap Rh. Ko Allah Ki Qasam Dekar Darqaast Karta Hu Ke Mujhe Aap Elaaj Karne Dijiye, Imam Ahmed Rh. Ne Ijaazat Dedi.
Us Naujawaan Ne Aap Rh. Ke Badan Par Paani Bahaaya Aur Usko Mal Diya, Tab hi Dard se Sukoon Milgaya.Jab Darogha e Jail ne Yeh Manzar Dekha, Toh wo Naujawaan ke Peeche Holiya aur Usse Arz Kiya : Usme se Kuch Paani Mujhe bhi Dede, Naujawaan ne Jawaab Diya : Yeh Baat Bilkul durust Nahi hai, Kyunke YEH JANNAT KA PAANI HAI.
Jisko Hindustaan ki Sar-Zameen me Aadam AS ke Baad Utaara Gaya, Mera Talluq Isi Sar-zameen ke Jino se hai.
Yeh Kehkar wo Naujawaab Ghaayab Hogaya aur Daarogha Haanpta Kaanpta Waapis Huwa. (Taqbaat e Hanaabila : Jild 2 : Safa 44-45)
Scan Page :
Sawaal :
Mazkoora Waqiye me Jinn ka Imam Ahmed Rh. ko Nazar Aajaana, Phir Us Jinn ko Jannat ka Paani Milna aur Usse Imam Ahmed Rh. ko Shifa Pa-Jaana, Yeh Sab Ghaib ki Baatein hai.
Aur Agar Jannat ki Naimato aur Uske Halaat ka Zaahir Hona Ilm e Ghaib hai (Jaisa ke Shaik Abu Yazeed Qurtubi Rh. ke Waqiye ko Bayaan Karke, Ghair Muqallideen kehte hai) Toh Phir Musannaf e Tabqaat, Imam Abul Hasan Ibn Abi Ya’ala Rh. aur Isi Tarah Imam Ahmed Rh. ke Bare me Ghair Muqallideen ka Ab kya Mauqoof Hoga ?
Aur Isi Tarah Is Waqia Me Allah Tala Ne Us Naujawaan Ladke Par Bhi Jannat Wa Dozaq Ke Halaat Zaahir Kardiye Hai.
3 –
Aur Yeh Waqia Hazrat Shaik Ul Hadees Rh. Ne Apni Taraf se Nahi Likha, Balke Imam Yafa’i Rh. (Siqa) Ki Kitaab (Rauz Ur Riyaaheen) Se Naql Kiya Hai.
(Rauz ur Riyaaheen : Safa 275-276)
(Rauz ur Riyaaheen Mutarjim : Safa 345)
Scan Page : Rauz ur Riyaaheen
Scan Page : Rauz ur Riyaaheen Mutarjim
Ghair Muqallideen ! Aapne Jo Fatwa Shaik Ul Hadees Rh. Aur Ulama E Deoband Par Lagaya Hai , Kya Aap Hazraat Wahi Fatwa Imam Yafa’i Rh. Par Lagaa Sakte Ho ???
4 – (Ghair Muqallideen Ahle hadees ke Faziltus-Shaikh Syed Sanaullah Gilaani Rh. ke Waalid e Mohtaram ko Dunya hi me Jannat ki Bashaarat)
Unke bare Likha hai ke
“……. Shah Sahaab Rh. Masjid me Aitekaaf me Bait-gaye, Din aur Raatein Guzarne Lagi aur Jab Ramzaan ul Mubarak ki Aakhri Raatein Aagayi.
Ek Raat Namaz e Taraveh se Faraaghat ke Baad Hum Apne Khaimo me Chale, Ghaliban Yeh Aakhri Taaq Raat ka Waqiya hai Maine Muta’aliqeen (Rishtedaar) Hazraat ko Tamaam Raat Be-daar Rehne ki Talqeen ki aur Apne Khaime me Chala Gaya, Jab Raat Aadhi se Zyaada Beet Gayi Toh Aksar Aaitekaaf Waale Apne Apne Khaimo me Sogaye ke Achaanak Light Chali Gayi, Abhi Light Gayi Huwi Thi ke Mai Apne Khaime Jaag Raha tha, ke
Masjid me Ek Nuraani Noor se Buqe Noor(Noor ki Rooshni Bangayi) aur Awaaz Aayi Barakallah Shah Jannati hai, Maine Yeh Awaaz Sunli (aur) Bada Hairaan Huwa, Saat hi Baher Nikla, Dekha Toh Baher Koi Na Tha…………..” (Ulama e Ahlehadees ka Zauq e Tawassuf : Safa 57-58)
Scan Page :
Sawaal : Ahle Hadees Bhaiyo ! Dunya me Rehte Huwe Aapke Apne Maulwi ko Jannat ki Basharat Milgayi, Toh Ab Aap Isko Ilm e Ghaib Kahoge ya Ilhaam ?
5 –
Mazeed Arz Karde Ke Yeh 70 ,000 Martaba Kalima Ka Nusqa Nawaab Siddiq Hasan Khan Ne bhi Kitaab Ut Ta’awizaat : Safa 122 Old Edition Par Naql Kiya Hai.
Scan Page :
Toh Unpar Kya Fatwa Hoga ?
Barhaal Hamaara Toh Yahi Nazariya hai ke Shaikh Abu Yazeed Qurtubi Rh. ki Waqiye me Us Ladke ko Kashf ke Zariye se Allah tala ne Uspar Jannat ke Halaat uspar Khol Diye hai.
aur Humne Ba-taur e Namuna (Examples) Upar Waqiyaat Zikr Kiye hai Jinme Ghaib ki Baatein Zaahir Hone ka Zikr hai.
Ab Hume Ghair Muqallideen ke Jawaabaat ka Intezaar Rahega.