Pages

Tablighi Jamaat ki Islah ki Tajaweez aur koshishain:EK USOOLI JAEZA

 Tablighi Jamaat ke Islah ki Tajaweez aur koshishain:
🌹EK USOOLI JAEZA🌹


Islah ki zarurat Afrad jamaat aur tahreekat sab ko hoti hai.Afrad to shaitan o nafs se ghira hota hai.Tahrekat mein jamood aur rasmiat aa jati hai. Tablighi jamaat bhi musalmanon ki ek jamaat hai aur yeh bhi is usool ke andar aati hai.

Tablighi Jamaat ki islah ki tajweez aur unhai pesh karne walon ko darj e zail hisson mein banta jaa sakta hai.

1⃣ PAHLI QISM: Inhain tablighi jamaat ke buniadi usool se ikhtalaf hai..woh ise 1 bekar kam samajhte hain aur waqt ki barbadi mante hain.Aur ise band karna zaruri samajhte hain.

2⃣ DUSRI QISM:
Yeh log buniadi usool se ittafaq karte hain ise mufeed kam samajhte hain.Lekin chand baton mein Fiqhi ya Ijtahadi ikhtalaf rakhte hain aur  iski islah chahte hain.

3⃣TEESRI QISM
Yeh bhi buniadi usool se muttafiq hain Inka ikhtalaf Nizamuddin/Raiwind/state level etc ke Akaabir ya Tabligh se jude ulma karam se hai jo unki taqareer/tafhee o tashreeh/Ghulu ke silsile ki hai aur yeh in ulma ya zimmedaran ki islah chahte hain.

4⃣ CHOUTHI QISM
Yeh Tablighi Jamaat se jude awam ki ghaltian/ghulu/deen ke dusre shobon ki naqadri etc ke bare mein naaraz hain aur awam ki islah chahte hain.

5.PANCHVI QISM
Yah woh log hain jo tablighi jamaat ke programme se ikhtalaf nahih rakhte lekin kuch woh kaam jo iske programme mein nahin hai use jodna chahte hain aur iski islah chahte hain.
Ab ham in qismon ka Usooli Jaeza lene ki ek koshish silsilewar karte hain.......Insha Allah.


🎈JAEZA SE PAHLE CHAND BATAIN🎈
 1⃣Kisi fard ya tanzeem ki islah ke liye uske zehni pasmanzar janna aur use samajhna kisi islah ki koshish ke liye bahut zaruri hai.....
2⃣Main is silsile mein yah koshish karunga ki tablighi jamaat se judi awam is 5 tarah ki Tajweez ya logon ke bare kiya sochti hai.....
Yani ki uska ispar kiya kahna hai......
3⃣Main yeh bhi koshish karunga ki is silsile mein jo tabligh ke awam aur ulma se tabadla khayal hua uski akkasi karun....Insha Allah

🎁TAJAWEEZ KA JAEZA🎁



1⃣PAHLI QISM ki TAJWEEZ

Tablighi jamaat se buniadi ikhtalaf/kam bidat hai/bekar, awam nahin kar sakti etc

JAWAB:
Tabligh se jude afrad KA MAUQIF
Deen ke khatir jan maal waqt ki qurbani,deen seekhna aur sikhane ki koshish, iman o amaal ki mehnat, Masjidon ko Abaad karne ki mehnat Yeh musalman par zaruri hai......
Yeh sare kam ke bare mein Quran pak ki wazeh Aayat aur Ahadith hain. Lihaza Quran pak ke sareeh hukm ke hote hue kisi ki rae/tajweez Qabil e Qabool nahin....
Tabligh wale apne halqe mein aksar ek misal bolte hain ki agar khuda na khasta MARKAZ NIZAMUDDIN ke MAULANA SAAD bhi elan kar dain ki tablighi jamaat ka kaam batil hai...aur ise mat karo/ Ya 5000 page ki kitab likh kar sabit katein.....
to ham unki baat bhi nahi manenge....chunki Quran pak ki bahut si aayat aur ahadith iska hukm kar rahi hain.....islie is silsile mein kisi aur rae/tashreeh ke manne ka sawal hi nahin.......Chahe maulana saad/Markaz Nizamuddin hi qiyon na bolain....
kiyonki,
.....Quran pak aur Allah aur uske pyare rasool ka hukm har kisi ki rae se upar hai.
LIHAZA IS PAHLI QISM KE LOGON KI TAJWEEZ QABIL E QABOOL NAHIN.
Wallahu Aalam.


🎁TAJWEEZ KA JAEZA🎁
2⃣DOOSRI QISM KI TAJWEEZ
Buniadi usool se muttafiq, fiqhi ijtahadi ya intazami ikhtalaf aur islah

JAWAB:
Tabligh se jude afrad KA MAUQIF
Mufti Shafi Rahimullah Maariful quran mein likhte hain ki fiqhi aur ijtahadi ikhtalaf ek fitri cheez hai aur ise deen mein qabool kiya gaya hai...bukhari shareef ki hadith ispar dalalat karti hai....
Ek Aalim ko fiqhi baton jo baat sahih lagti ho use rae pesh karne ka haq hasil hai...Lekin use apni rae par israr nahin karna chahie...
Use dusre mauqif ko haq o batil ka mamla nahin kahna chahie......

EK Misal
Mahram Masturat Jamaat
Ulma e Haq ki ek jamaat ise sahih nahin aur muzir manti hai,
Ulmae haq ki ek dusri jamaat ise sahih aur deen ke liye faedamand manti hai....
Ek misal
Hamari bahan Alhamdulillah Hafiza Aalima hai...usne madarsa hostel mein rahkar padhai kee..........Ham aise Ulma ko jante hain jo ladkiyon ke madarse ke hostel ko sahih nahin mante....Aur yah bhi jante hain ki dusre ulmaa karam jayaz o mufeed mante hain hatta ki wahan madarse mein padhane wale bhi ulma karam hi the....Qasmi Nadvi hazrat bhi the.....
Abhi banglore/kerala/UP mein bahut se banat madarse khul rahe hain......
Is silsile mein qaeda yeh hai ki apni rae rakhne ke baad fiqh ke usoilon ke mutabiq israr zabardasti aur haq o batil ka mamla nahin banana chahie.
🌹Yahi hal kisi intazami faisle ya tarteeb ka hai....
Maulana Manzoor Nomani rahimullah likhte hain ki apni rae dene ke baad zimmedaran ki aqal o baseerat par Aitamad karna chahie.
IN TAJAWEEZ MEIN DONO RAE KA IHTARAM KARNA CHAHIE....Aise log hain jo kam se lage hain lekin mastoorat mein nahin jate.
WALLAHU AALAM


 🎁TAJWEEZ KA JAEZA🎁
3⃣TEESRI QISM KI TAJWEEZ
Buniadi usool se muttafiq, Markaz ke Akabir ya tabligh ke ulma karam ki taqreer/tafheem o tashreeh par aitaraz aur islah ki tajweez

JAWAB:
Tabligh se jude afrad KA MAUQIF
1. Koi Aalim ya Akabir bashamool Akabir nizamuddin ghalti se mubarra nahin.
2. Jis Aalim ki ghalti hai use barahe rast mutanabbeh kiya jae.
2. Agar kisi ki ilmi ghalti hai to uski nishan dehi ilmi usooloon par ho.
baat karne wala se puch liya jae ki baat ka kiya matlab hai....
Imam Shafaee ka fatwa hai ki agar kisi Aalim ki baat ka 2 matlab nikalta ho to us Aalim se pucha jaega ki us ka kiya matlab hai....
NUH ME KELLER ki mashhoor kitab IMAN KUFR AUR TAKFEER jo barelvi ulma ke zarie deoband ke ulma ki tahreeri ghalti aur kufr ke ilzam ke silsile mein hai......usmein ispar tafseeli bahas hai....
3. Jis ki Ghalti ho us tak baat pahunchaee jae....social media par phailane ka matlab samajh se bahar hai...?
Ek misal
Maulana Saad sb ke ek bayan ke 2 Sentence nikal kar ek fatwa pucha gaya....aur sabit kiya gaya ki woh anbia ke maujze ka inkar kar rahe hain...Nauzu billah MaazAllah....
Maulana saad ne aage peeche kiya kaha aur poori baat kiya thi woh ek alag mudda hai........
🌹Use photo shop mein maulana saad ki Gumrahi ke elan ki shahsurkhi banakar pesh kiya gaya....
Sab ko maloom hai ki maulana saad whats App/facebook/internet par nahin hain......to ise internet par dalkar maulana saad ki islah kaise ho sakti hai......
Yeh islah hai ya awam ko ulma/akabir se mutanaffir karne ki koshish?
ILMI BATON PAR ILMI ANDAZ MEIN ISLAMI USOOLOON PAR GHALTI KI NISHANDAHI HONI CHAHIE....Iska istemal badnam karne ke propaganda ke taur par photoshop/shah surkhi waghairah se nahin honi chahie.
WALLAHU AALAM

 TAJWEEZ KA JAEZA
4⃣Chouthi QISM KI TAJWEEZ
Buniadi usool se muttafiq, Tabligh se jude awam ki ghaltian/ghulu/deen ke shobon ki naqadri/ulma karam ki naqadri etc

JAWAB:
Tabligh se jude afrad KA MAUQIF
1. Ulma ku naqadri Akhirat ka bahut bada nuqsan hai, bahut bada gunah hai.
2. Tabligh ke kam ko ulma ki sakht zarurat hai, Ulma kaam ke asal rahbar hain.
3. Tabligh Madaris Khanqah Tasneef etc sab deen ke shobe hain yeh ek dusre ke rafeeq hai, inmein koi taqabul nahin Rafaqat ki zarurat hai.
4.Jo log upar ki baton par amal nahin karte woh darasal apne akhirat ko aur tabligh ke kam ko nuqsan pahuncha rahe hain.
5. Tabligh mein har tarah ke log hain....baqaul maulana manzoor nomani r.a. jitne tarah ke log musalman samaj mein hai woh sab category tabligh mein bhi hai.....
Baqaul maulana ilyas yeh dhobi ki bhatti hai har tarah ke gande kapde aate hain.
Sathion se Ghalti hoti hai aur ise mustaqil ehtamam se islah ki zarurat hai.
6. Kabhi kabhi kisi infaradi baat ko/infaradi ghalti ko puri tablighi jamaat se jod diya jata hai....
Ek misal
2 sal pahle kanpur ke ek waqea ke mutalliq  ek Islami website par aaya ke tabligh walon ne madarsa par hamla kar diya......Tahqeeq karne par maloom hua ki yah madarsa ke muhtamim aur ek muqami ..............sb(naam chipa raha hun) ki zameen ke silsile mein ladai thi......aur woh sb jamaat se bhi kuch jude the...puri tarteeb se nahin ....na 4 maherne lage the...
Isko tabligh se is qadar joda gaya ki itna badhaya gaya ki darul uloom deoband tak baat pahuchi.
7. Markaz nizamuddin se sathio ko masjid/ madarsa ke intazami umoor mein dakhal dene ki mamaniat hai.......Log isko follow nahin karte. Ab kisi aalim ke sath taqarruri ya maazooli ya tankhah ka masla ho jata hai..........Ab uska ilzam tabligh ko uthana padta hai.....Main aise ulma ko janta hun jo is wajah se puri jamaat se naaraz hain......Aisa islie ho raha hai ki sathi markaz nizamuddin ki hidayat nahin maan rahe hain.
8. Aalim ka ikram uske Aalim hone ki wajah se zaruri hai....Markaz se saaf hidayat hai ki har Aalim ka ikram karna hai chahe woh tablighi jamaat mein laga ho ya na ho.Sathion ko iski pabandi karni chahie.
AWAM KI GHALTION SE KISI KO INKAR NAHIN.....ISLAH KI ZARURAT HAI......ULMA KARAM KI RAHBARI SE ISLAH AASANI SE HO SAKTI HAI....
WALLAHU AALAM

 🎁TAJWEEZ KA JAEZA🎁
4⃣Panchvi QISM KI TAJWEEZ
Tablighi Jamaat ke programme se ikhtalaf nahin hai, kuch aisa jodna chahte hain jo iske programme mein nahi hai.

JAWAB:
Tabligh se jude afrad KA MAUQIF
1.Har Tanzeem ya Tahreek apna programme kuch soch samajh kar tai karti hai.....zahir hai har pahlu par ghaur karti hai...aur use apni hudood tai karna hota hai.
2. Kisi masle par radde amal ka tareeqakar woh apne zehni asas aur pasmanzar aur tai kiye zawabit ke mutabiq karti hai.....iska matlab yeh hargiz nahin ke woh radde amal ke dusre tareeqa kar ko ghalat manti hai...
Ek misaal
Jab babri masjid tooti to maulana inaamul hasan sb khoob roe dua ki aur pure markaz walon se kaha ki hamare aamal ki wajah se masjid tooti hai......Koi bayan jari nahi kiya iska yeh matlab nahin ke woh bayan jari karne walon ko ghalat mante hain.
Dusri Misal
Masael par baat nahin ki jati ...Tabligh mein kai maslak ke log hain....masael mein ikhtalaf hai......Isliye jamaat ke kaam ko isse alag rakha gaya hai.
Iska matlab yeh nahin ki masael zaruri nahin balki masael apne ulma se hasil karne ki targheeb dee jati hai.
3. Agar kisi ko koi rae deni hai programme mein kuch add karne ke bare mein to apni baat markaz nizamuddin mein rakhni chahie. Awam ke beech/social media mein rakhne se faeda nahin kiyonki faisla to akabireen ulma karam ko karna hai.
HAR TANZEEM KA APNA EK ZABTA AUR HUDOOD HOTI HAI...PHIR BHI AGAR KUCH ADD KARNE KI RAE DENI HO TO ISKE LIYE MARKAZ NIZAMUDDIN MUNASIB JAGAH HAI.
WALLAHU AALAM


 🎁 Internet par TABLIGHI JAMAAT 
ki islah aur 
ULMA E KARAM  🎁


------------------
1⃣Tablighi Jamaat ki puri kamyabi ibtada se lekar ab tak ulma e karam  ki qurbani aur kawish ki marhoon minnat hai.Unhone ise har tarah se parwan chadhaya hai.

2⃣Ulmae mein 99% feesad iske buniad aur faede se muttafiq hain,
kahin kahin fiqhi ijtahadi ya intazami ikhtalaf hai jo fitri hai........
ya kisi ghulu par tanbeeh hai jo zaroori cheez hai.....aur honi chahie.

3⃣Lekin kam se kam internet/social media par 1% aise ulmae hain jo ise
Bidat ya usse bhi badhkar Quran pak ki tahreef karne wale aur islam dushman groh tasawwur karti hai.

4⃣Internet par 1 nahin balki kam se kam 6-7 kitabain is tarah ki baton ki hain.
(Ulma ka naam islie nahi de raha hun ki gheebat ho jaegi......aur kitab ka naam islie nahin chunki main isko ghalat samajhta hun...aur phailana nahin chahta.
Agar kisi ko zarurat ho to personal mein bata sakta hun.)

5⃣.Mujhe unke Tablighi jamaat ko baatil kahne ke ilmi Fiqhi ya jamhuri haq par koi aitaraz nahin....lekin masla dusra hai......

6⃣. Unka ikhtalaf kaam ke haq o batil ka hai.......lekin woh awam ki ghalti ka unwan banakar aur indirectly apni baat phailate hain

7⃣. Woh apne mauqif ki taeed ke liye Akabireen ulma ki out of context/beghair rabt ke jumle ka hawala dete hain...
Jo tareekhi
Ek misal
Qari Tayyab Rahimullah ka tabligh ki himayat azhar minash shams hai, hatta ki himayat mein puri kitab likhi hai.......
Lekin yeh log apni kitab mein 1 jumla quote kar rahe jo bilkul hi alag hai......Isi tarah maulana hussain ahmad madni r.a. ke sath kiya hai....ki unko mukhalif sabit kiya.

8⃣Har aalim apne mauqif ke liye aazad hai lekin kisi akaabir ka ghalat sahara lekar apna mauqif ko sabit karna diyanatdari nahi hai.
Wallahu Aalam

Baharhal sare mamle Allah ke samne hazir hone aur wahi sach janne wala aur faisla karne wala hai..