ALLAH TA'LA ke zikr ke fazail muntakahb ahadees kitab,
hazrat mavia radi ALLAH anhu farmate hain ke
(RASUL ALLAH S/L) sahaba ke ek halqe main tashreef le gaye aur unse dariyaft farmaaya: tum yaha kaise baithy ho? unhi ne aarz kiya : hum ALLAH TA'LA ka zikr karne aur is bat ka shukar aada karne ke liye baithy hain ke ALLAH TA'LA ne humko ISLAAM ki hidayat de kar hum par ehsaan kiya hain_(NAABI KAREEM S/L) ne irshad farmaya: ALLAH ki qasam ! kya tum sirf isi waja se baithy ho ? sahaba ne aarz kiya : ALLAH ki qasam ! sirf isi liye baithy hain_ (NAABI KAREEM S/L) ne irshad farmaya: maine tumhe jhoota samjh kar qasam nahi li balke baat yeh hain ke
jirail (alaissalam) mere pass aaye thy aur yeh khabar suna gaye ke ALLAH TA'LA tum logo ki waja se farishto par faqar farma rahe hain _
(muslim)
hazrat abu razain radi ALLAH anhu framate hain ke
(NAABI KAREEM S/L) ne irshad farmaya: kya tumko DEEN ki buniyadi cheeze na bataun? jisse tum duniya wa akhrat ki bhalai haseel karlo? ALLAH TA'LA ka zikr karne walo ki majliso main baitha karo_aur tanhai main bhi jitna ho sake ALLAH TA'LA ke zikr main apni zaban ko harkat main rakho -
(behqi mashkat)
hazrat abin abbas radi ALLAH anhuma farmate hain ke
(RASUL ALLAH S/L) se aarz kiya gaya : humare liye kis shaks ke pass baithna behtar hain ?? AAPNE irshad farmaya:
jisko dekhne se tumhe ALLAH TA'LA yaad aaye,,jiski baat se tumhare AMAL main taraqqi ho aur jiske AMAL se tumhe akhrat yaad aajaye
(abu yali majmua azzawaid)
hazrat anas bin malik radi ALLAH anhu se rivayat hain ke
(NAABI KAREEM S/L) ne irshad farmaya: jo shaks ALLAH TA'LA ka zikr kare aur ALLAH TA'LA ke khaof se uski aankho se kuch aansu zameen par gir pare to qayamat ke din ALLAH TA'LA use azaab nahi denge-
(mustadrik hakeem)
Page no 345 muntakahb ahadees