Pages

Abul hasan Ali Nadvi RA mother brilliant advice for Islamic Education:Mother/ladies being Islamic and religious Excellent case

Niche Us Khat ka Page hai jo Ali Miyan sb ki Maan ne Likha tha 
(Note:Is waqie ka yeh matlab nahin ke koi dunyawi ilm ke khilaf hai.Ummat ko har ilm ki zarurat hai.Doctor engineer sab zaruri hai Basharteke deen dar ho.
Dunia ke ilm ki Izzat to har Man baap ko hai.Is waqiye se deen ki taleem ki izzat aur ahmiyat pata pata chal rahi hai.)

eh 


Yeh kaisi Mayein theen Jinke god mein in Ulema e Kabar ne Parwarish Payi.
 Maulana Ilyas kaha karte the Ab Aisi Maein Kahan Milengi jinki god mein hamne Parwarish Pai.
 Ummat Bahut door ja Chuki Hai.
Bahut kaam Baaqi Hai. Allah ki Madad aur Taufeeq se Bas kam Shuru Kar dein. Phir aise Namoone Wajood Mein Ayenge.........

Ek Misal main Is Daur mein bhi Janta hun....... hamare Pados mein Ek karorpati Dawat ke kaam ke Sathihain.......Unke char Bachhe hain Do ko Hafiz Alim Daee Bana Diya HAI....Aur do ko Bana Rahe hai......Unki Tarteeb yeh hai ki Pahle six class tak achhe school mein Padhwate hain taki English aur Litrature ki acchi Salahiat Paida ho Jae. Phir Hafiz Alim ke liye Madarse Bhejte Hai.....Ladke aur Ladkian dono ke liye unki yahi Tarteeb hai.....Allah ne aisi barkat dee hai......Jo pass Hota Hai Mahsoos Karta Hai.....Unhone apni beti ki shadi ek paisa kharch nahin kiya aur aisa ladka Mila Ki Dunia Wale aur Deen Wale Donon Rashk Karenge