Pages

Tablighi Jamaat Shura Markaz Nizamuddin Raiwind Kakrael Bangle wali Masjid



.  Tamam Musalmanon se Dardmandana Appeal


1.Dunia ki zindagi be sabat hai. Aur yahan kamiyabi ka akela rasta Allah ke hukmon wali zindagi aur Rasulullah sallahu Alaihi wasallam wala rasta hai. Jise deen kahte hain. 

2.Deen zindagi mein mehnat se aata hai. Deen ki mehnat ki ek asaan aur mufeed shakal Allah ne Maulana Ilyas Rahimullah ke zarie dunia mein Aam karayee. Ab ham sab ko apne jaan maal waqt ki qurbani ke satth is kaam ko maut tak karna hai. 

3.Is kaam mein koi shakhsiat parasti nahin hai. Maulana Ilyas Rahmatullah Alaihi (Allh unke qabr ko noor se bhar de) Kaam ke taarruf ke silsile mein bhi apna naam tak lena pasand nahi karte the.

4. Asal deen hai aur uski mehnat hai. Afrad to aate jatee rahenge. Aaj Maulana Ilyas Rahimullah nahi hai Lekin dawat ka kaam hai. Aaj jo akaabir hain sab ek din mar jaenge lekin dawat ka kaam yah chalta rahega Insha Allah.

5.Ham apne tamam maujooda akaabir se milkar rahein. Kisi se kam aur zyada muhabbat fitri cheez hai lekin kisi ko kisi se badguman nahin hona hai.Badgumani bada gunah hai. Isliye tamam akabireen se muhabbat karte hue ham apne aakhirat ki fikr karein

6.Dawat ke kaam mein Ameer koi uhda ya mansab nahin hai. Balki 1 bahut badi zimmedari hai. Ameer khadim hota hai. Yah kaam Ijtamaiat ka hai.Ijtamaiat mein Khair, Allah ki Madad ka Wada aur Fitnon se Hifazat hai. Hamara nizam Hamesha se Ijtamiaat aur ittahade fikr ka raha hai.Ameer banane ya na banane ka faisla shura karegi. Kisi Musalaman ko Ameer banne ki khahish rakhna Allah ki madad ko hata deta hai. Aur beghair mashwara ke kisi ke ameer hone ka elan aur imarat par bait karna bahut badi khiyanat hai. Hazrat Umar Raziallahu Anhu ne ispar sakht baat kahi hai. Yeh bahut bada fitnah hai.

7.Shura mein to chand afraad hote hain who inazamee umoor ke liye Iske alawa haemin aur jitney bhi Ahle Haq Ulma aur akabir hain Chahe who deen ke kisi shobe Tabligh Taleem Tazkiya Tasneef mein hon un sab ki izzat aur muhabbat karni hai. Jo akabir Tabligh ke field mein hain unmein se chand naam yah hain unke alawa jo Shura mein hain.  Maulana Muhammed Ihsan ul Haq sahab ,Maulana Tariq jameel sahab (db) ,Dr Sanaullah sahab (db), Maulana Ismail Godhra sahib, Dr Muhammed Khalid Siddiqui sahib, Bhai Chaudhry Muhammed Rafeeq sahib, Bhai Farooq sahib, Dr Roohullah sahib, Bhai Bakht Muneer sahib, Professor Abdur Rahman sahib, Abdul Aleem sb, Nadir Ali Khan sb, Maulana Ahmad Bahawalpuri sb, Yah bas chand naam hain Iske alawa jitney bhi Ulma karam hai chahe Tabligh mein jate hon na jate hon Hattaki agar (khuda na khasta, kisi confusion/ashkal ki wajah se) Mukhalifat karte hon tab bhi haemin unka ikram karna hai.



7.Hazrat ji Maulana Inamul Hasan Rahimullah ne zamane ke nazakat aur fitnon ko samajhte hue 10 Afrad ki shura muqarrar ki thee. Ismein se 8 afrad Allah ko pyare ho gaye. Ab sirf 2 Bache the to Mashwara se Haji Abdul Wahab sb ne puri dunia ke zimmedaron se mashwara karke Raiwing Ijtema ke mauqe par 16 Nov 2015 ko usmein 11 afrad ko Jod kar takmeel ki hai. Ismein se 5 akaabir Markaz Nizamuddin ki Ijtamaee Shura ke hain, 5 Raiwind ki shura ke aur 3 Kakrael ki shura ke.  
Tamam Musalman Shura ko Taawwun dain Yani Infaradi Rae se bachte hue Shura ke Ijtamaee Mashwara se Yaksu hokar Allah ke liye Jaan Maal Waqt ki Qurbani ke saath Deen ki Mehnat Karein.

Aur Apni Hidayat aur Sare Insaniat ki Hidayat ki fikr karein.

9.Shura ke Akabireen ke Asmae Garamee neeche hain.

1.  
1. Hazrat Maulana Muhammed Saad sahib (db) (Nizamuddin)

2. Haji Abdul Wahhab sahab (db) (Raiwind) 

3. Hazrat Maulana Ibrahim Dewla (db) (Nizamuddin) 


4.Hazrat Maulana Yaqoob saharanpuri (db) (Nizamuddin) 

5.Hazrat Maulana Ahmed Laat (db) (Nizamuddin) 

6.Hazrat Maulana Zuhairul Hasan (db) (Nizamuddin) 

7. Hazrat Maulana Nazrur Rahman (Raiwind) 

8. Hazrat Maulana Abdur Rahman (Raiwind) 

9. Hazrat Maulana ubaidullah Khurshid (db) (Raiwind) 

10. Hazrat Maulana Zia ul Haq (db) (Raiwind) 

11. Hazrat Qari Zubair sahab (db) (kakarayel) 

12. Hazrat Maulana Rabeul Haq (Kakarayel) 

13. Bhai Wasif ul Islam (kakarayel) 

Ismein se jo 5 (Panch) afrad Nizamuddin ke hain who aapas ke mashware se Nizamuddin ke umoor anjam denge.

1.Maulana Saad Sb.
2.Maulana Ibrahim Sb.
3.Maulana Ahmad Laat Sb
4.Maulana Yaqoob Sb
5.Maulan Zaheerul Hasan Sb.


Mashware ka Urdu Typing

Translation: 

Allah Rabbul Izzat had in this era, through the personality of Hazratji Maulana Muhammed Ilyas sahab (rah) , without any apparent resources, for revival of deen in the whole world, And in accordance of the way of the Prophet (saw) rekindled the striving for deen. Laying its foundation with struggle and sacrifice. 

Before his passing away and upon his own insistence, through the unanimous decision by Mashwara of convergent thinkers of the time, selected Hazratji Maulana Yousuf sahab (rah) as the Zimmedar ( or Ameer of Tableegh). 

who, on the lines of Hazratji Maulana Ilyas sahab (rah) and in the light of Qur’an, blessed Hadith, Seerat Nabawi (saw) and the blessed lives of the noble Sahabah (radh), explained the motives and method of the work. Thus firmly holding the scales of balance, he presented forth the detailed roadmap of the work before the ummah. And the work spread throughout the world. 

Upon the passing away of Hazratji Maulana Yousuf sahab (rah)Shaikh ul Hadeeth Hazrat Maulana Muhammed Zakariyya (rah) through the mashwara of convergent thinkers, ceded the responsibility of this blessed work to Hazratji Maulana Inamul Hasan sahab (rah) 

He did a lot of work, preserved the Nahaj (manner) of tableegh. And to guard the real Nahaj of the work which was now spread to faraway lands, with the Mashwara of his near ones, made the arrangement of ‘shura’ in different countries. 

At some places, an Ameer was made along with the Shura and elsewhere made arrangement to select an arbiter by turns, from amongst the people of Mashwara. 

Thus to supervise the work & its progress spreading the entire nation, he constituted a shura of ten people around himself who under the supervision of Hazratji (rah) took all the working shura & individuals from everywhere under its wings. 

After the demise of Hazratji (rah) the ‘shura’ remained working on the same nahaj on which the previous three Akabir had taken course. 

On November 2015, Nizamuddin, Raiwind, Bangladesh and old workers/ zimmedars from different nations felt the need to complete the shura established by Hazratji (rah) of which eight people had passed away and only two remained. Such that the nahaj and methodology of this work was preserved. 

And whenever the need for any additions or corrections was observed, it could be executed through the complete unanimity of the shura, such that collectivity was maintained. And that no practice would be initiated either at Nizamuddin, Raiwind or Kakarayel without the approval of this shura. 

In the course of absence of any shura member (by demise), the shura then has to fill the void through the consensus of minimum two third of the shura. Such that the existence of shura is maintained. This blessed work belongs to the ummah and is a collective responsibility. 

After discussions and taking opinions from old workers of every place, this shura including the names of Hazrat Haji Abdul Wahhab sahab (db) and Hazrat Maulana Muhammed Saad sahab (db) has added the following names. Insha Allah this shura in future shall be comprised of 13 individuals. 

1. Hazrat Maulana Ibrahim Dewla (db) (Nizamuddin) 

2. Hazrat Maulana Yaqoob saharanpuri (db) (Nizamuddin) 

3. Hazrat Maulana Ahmed Laat (db) (Nizamuddin) 

4. Hazrat Maulana Zuhairul Hasan (db) (Nizamuddin) 

5. Hazrat Maulana Nazrur Rahman (Raiwind) 

6. Hazrat Maulana Abdur Rahman (Raiwind) 

7. Hazrat Maulana ubaidullah Khurshid (db) (Raiwind) 

8. Hazrat Maulana Zia ul Haq (db) (Raiwind) 

9. Hazrat Qari Zubair sahab (db) (kakarayel) 

10. Hazrat Maulana Rabeul Haq (Kakarayel) 

11. Bhai Wasif ul Islam (kakarayel) 


The five shura members in this shura from Nizamuddin would constitute the Mashwara at Nizamuddin and this Shura shall oversee the general functioning of Nizamuddin through Mashwara. 

4th Safar 1437 / 16th November 2015 


Undersigned 

(Hazrat Haji) Muhammed Abdul Wahhab sahab (db) 

(Hazrat) Maulana Ahmed laat sahab (db) 

(Hazrat) Maulana Tariq jameel sahab (db) 

(Hazrat) Dr Sanaullah sahab (db) 

(Hazrat) Maulana Muhammed Yaqoob sahab (db) 

(Hazrat) Maulana Muhammed Ihsan ul Haq sahab (db) 

(Hazrat) Bhai Farooq sahab (db) 

(Hazrat) Dr Roohullah sahab (db) 

(Hazrat) Bhai Chaudhry Muhammed Rafeeq sahab (db) 

(Hazrat) Maulana Nazrur Rahman sahab (db) 

(Hazrat) Dr Muhammed Khalid Siddiqui sahab (db) 

(Hazrat) Bhai Bakht Muneer sahab (db) 

(Hazrat) Professor Abdur Rahman sahab (db) 

(Hazrat) Maulana Ismail Godhra sahab (db) 


             حضرت اقدس مولانا طلحہ صاحب دامت برکاتہم کی درد بھری صدا