Pages

Tablighi Jamaat Kiya hai Urdu Roman writing

Tableegh koi groh ya jamaat nahi hai, balke ye ek amal hai Kaam Hi MEHNAT HAI jis mein

 ek allah ki, tauheed ki dawat di jati hai. 
Nabi e Pak Sallallahu alaihi wasallam ki sunnato par amal karne ki dawat di jati hai, 

Duniya ka har musalman ko Tableegh karna hai,
Madarson mein Padha kar, Ijtamaat ulema ki Taqreer  Masjidon mein bayaan kar ke tableegh karta hai, ijtemaaon mein bayaan kar k Tableegh krta hai, Doston ke beech baith kar malumat exchange kar ke Tableegh karta hai, Ghar mein Maa-Baap, biwi-bachche, bhai-baheno k sath Tableegh karta hai...


Yaha tak k Hamare zindagi k har hisse mein Tableegh k amal base huwe hain, Fir mere bhaiyon aur bahnon Apas mein ham bair kyun rakhe, nafraton ko kyun paalein...


Ham saare ke saare Musalman hain, Ham saare ke saare ummat-e-Muhamma ­di hain, Saare zubaano se ek hi kalma nikalta hai,


ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAHU WA ASH'HADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASULUHU...
Be a real muslim, Be a real Ummah of Prophet MUHAMMAD (PBUH)