Pages

Shikwa jawab e shikwa transliteration Urdu

Shaikwa Jawab-e-Shikwa
 (complain and answer of complain) 

by  Dr. Allama Sir Muhammad Iqbal Rahimullah

ek aisi Nazam jo agar ham samajh lein aur amal kar lein to .........
(Kuch chuninda Ashaar)


Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin
Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin

Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se
Nasha-e-Mai Ko Ta’aluq Nahin Pemane Se

Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood, 
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?

Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!

Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi

Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!

Aaj Bhi Jo ABraheem (A.S.) Ka Imaan Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida

Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai

Ki Muhammad (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain

>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

dil se jo baat nikakti he asar rakhti he                     

per nahi taqat e perwaz mgar rakhti he



qudsi e asal he rifa'at pe nazar rakhti he                 

 khak se uthti he gardun pe gzar rakhti he     


ishq th fitna garo sir kash o chalak mera           

 asman cheer gye nala e bebak mera



peer a gurdun ne kaha sun k kahin he koi           

bolay siaray sir e arsh e bareen he koi



chand kehta tha nahi ahl e zameen he koi              
 kehkashan kehti thee posheeda yaheen he koi




kuch jo samjha mere shikway ko yu rizwan samjha 

mujhe jannat se nikala huwa insan samjha



thee frishton ko b herat k yeh awaz he kia             

arsh walon pe b khulta nahi ye raaz he kia



taa sir e arsh b insan tag o taz he kia                      

aa gai khak ki chutki ko b perwaz he kia


ghafil adaab se ye sukaan e zameen kese hen        

shokh o gustakh ye pasti k makeen kese hen



is qadr shokh k ALLAH se b berham he                   

tha jo mesjood e Malaik ye wohi Adam he



alim kaif he danai ramooz e km he                             

han mgar ijz k israr se na mehram he



naz he taqat e guftar pe insanon ko                              

baat krnay ka saleeqa nahi nadanon ko



aye awaz gham angez he afsana tera                                   

ashk e betab se labrez he pemana tera



asman geer huwa nara e mastan tera                             

kis qadr shokh zuban he dil e dewana tera



shukar shikway ko kia husn e ada se tu ne                 

hum shukhn kr dia bandon ko khuda se to ne



hum to maail ba karm hen koi saail he nahi                     

raah dikhlayen kisay raahro manzil he nahi



tarbiat aam to he johar qabil he nahi                             

jis se tameer ho Adam ki ye wo gul he nahi


koi qabil ho to hum shaan e kai dete hen                          

dhundnay walon ko duniya b nai dete hen

Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain
Ummati Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain

But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain
Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain


Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye
Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye

Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha
Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!

Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha

Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai
Hum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai

Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai
Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?

Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho
Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho

Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne? 
Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne?

The Tou Aaba Woh Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho?
Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho!

Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin
Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin

Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se
Nasha-e-Mai Ko Ta’aluq Nahin Pemane Se

Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood, 
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?

Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!

Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi

Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!

Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida

Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai

Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain