Pages

Musalamanon ki zillat Ruswai ki Wajah



Ist View
 Ilm ka fuqdan ek wajah hai jise door karna zaruri hai.
Lekin ummat ke zillat o ruswaee ki wajoohat par bahut ghaur fikr ki zaroorat hai.
Bahut se wajoohat jo batae jate hain woh asal marz nahin balki symptoms (awariz) hain. Che jaeke asal marz ki tashkheesh aur sahi ilaj na ho awariz ki islah namumkin hai.
Allah pak amal ki taufeeq nasib farmae.

 2nd View

Yeh kehna ke aaj kal logo mei ilm ki kami hai, mai samajhta hu ke yeh iss sadi ka sab se bada jhoot hai.
Kami ilm ki nahi, balke tarbiyat aur taqwa ki hai.
Chunaanche, mukhtalif uloom-o-funoon aur unn uloom se behrawar muhaqqiqeen wa ulama ki jitni badi tadaad aaj hai, kabhi nahi rahi.
Awaam toh awaam, hum maulviyo ko bhi din raat uloom aur maraakiz e uloom ki fikar hai, farzi o ghair farzi madaris ki fikar hai, lekin koi ye nahi kehta ke uloom toh bahot hain, aaj qaum o millat mei tarbiyatgaahon aur islaahi maraakiz ki zarurat hai.
Arrey janaab, aaj ke din uloom toh aap ki dehleez pe dawat-e- tehseel de rahe hain. Aap ke mobile pe uloom ka ambaar hai, internet ki shakl mei computer pe uloom ka samandar thaante maar raha hai, aaj ka aalim angrezidaan bhi hai, mutarjim bhi hain, professor, lecturer aur Engineer bhi hain.
Aaj ka imaam taajir bhi hai, mufassir muqarrir aur badi badi tanzeemo ka qaaed bhi hai.
Doosri taraf, aaj ka professor aur engineer namazi bhi hai, muqarrir bhi hai, muballigh aur misannif bhi hai.
Aaj ka BA pass, Haafiz-e- Qur'an bhi hai, A/c technician bhi hai.
Aaj ki dokhtaraan-e-millat ke paas uloom ka ambaar hai, deen ke hawaale se iss qadar faazilaat ka amboh hai ke ek ek Jaamiyatul Laundiyaat mein teen-teen chaar-chaar sheikhatul hadeesa hain. Inn ki jholiyo mei iss qadar uloom hain ke mardo ke naak mei dam kar rakha hai.
Filhaal itna hi. Iss ummeed ke saath ke koi bataye ke kahaan hai uloom ki kami?

3rd View