Pages

Ilm Ulma aur Tablighi Jamaat ki islah Ghulu Maulana Saad

Maulana Saad Markaz Nizamuddin Byan on 11/03.2014  deen ke shobon ke talluq aur rafaqat ke bare mein
***************************
1. Farmaya kaam karne walon mein bhi jihalat hai. ISki wajah yeh hai ki ulma ke sath talluyq nahin.Ulma ki majlison ko ibadat samjha karo aur isko apni zarurat samjho.

2. ek...........(not clear) paida ho gayi hai sathion mein. Ek aadmi subah ko waqt farigh karta hai masjid ke liye 21/2 ghante aur sham ko ek aalim ki majlis mein jata hai Tafseer ka dars Masael ka dars ya tanhai mein baith kar usse apna ilmi istafada  karta hai..
to sathi kiya kahte hai ki tu tabligh mein ha na to sham ko bhi waqt masjid ko do aur subah ko bhi waqt masjid ko do ji han.........Ki tum to bhai kaam mein lage hue ho aur tumko yeh karna chahie.

3. Shikayat karte hain aake kiji woh falan sathi hai woh sham ko ek aalim ke pas chala jata hai ji han Jihalat hai jihalat.ki iska naam istakhlas rakha hai..ki aap is kam ke alawa koi aur kam na karo....iska naam kiya rakha istakhlas....yeh jihalat hai jihalat...istakhlas nahin

4. Istakhlas isko kahte hai ki kaam karne wale apne apko siasat se ikhtalafi umoor se jhagde ke baton se apne apko bachakar chalain yeh istakhlas hai..yeh nahin ki deen ke shobe chodkar deen ke shobe ke khilaf chalain yeh istakhlas hai.......

5. Ke ji yeh to imamat mein chale gaye....ek sahab aaye kahne lage ki ek sathi ne saal lagaya aalim ne ki woh to imamat mein lag gaya ham chah rahe the ki tabligh ka kaam karta......ki kiyon......woh tabligh ka kam kiya hua? woh dawat ka kam kiya hua? jo imamat ke khilaf dars o tadrees ke khilaf deen ke kisi shobe ke khilaf ho woh dawat ka kam kiya hua......Dawat ka kam yeh ho nahi sakta ki deen ke kisi shobe ke khiloaf ho......

6. Ye hamara admi yeh tumhara admi yeh kiya.sare deen ke shobe nabuwwat ke shobe hain.......dawat ke shobe hain.....