Pages

Sana Ruku Sajda Tasbeeh ka Tarjuma Urdu Roman

              
namaz me jo aap padhte ho us ka tarjuma kya hai 
samjh lo samjh k padhoge to aap ko namaz padhne
me pata chalega aap kya padh rahe ho
............................. ..

* SANA:-
Subhanakallahum ma Wabi hamdika Wa
tabarakasmuka Wat'ala Jadduka Walaailaha
Gairuka.
* TARJUMA:-
Aye Allah ! Mein Teri Paaki Bayan karta hu aur
Teri Taarif Karta hu aur Tera Naam Barkatwala
Hain, Buland Hain Teri Shan, aur Nahi Hain
Tere Siva Koyi.


* RUKU ME:-
Subhana Rabbiyal Azim
* TARJUMA:-
Paak he mera Rab Azmat wala.


* RUKU SE UTHTE WAQT:-
SamiAllahu Liman Hamida.
Rabbana Lakal Hamd.
* TARJUMA:-
Allah ne uski sunn li jisne uski taarif ki.
Aye hamare Rab, tere hi liye tamam taarife he.


* SAJDE ME:-
Subhana Rabbiyal A'ala.
* TARJUMA:-
Paak he mera Rab Badi Shan wala.