Pages

FAZAIL E AAMAAL PER AETRAAZ KA JAWAB Khoon Peena


KHOON PEENA
Waheed sahab nay kaha k khoon ka Haraam hona Quran Paak ki Qata'yi Nas say Saabit hay . Lekin Hazrat Sheikhul Hadees sahab Rehmahullah nay 2 Sahaba kiraam Razi Allahu Aunhum kay Khoon peenay ka Waqiya'h Ziker kya or Huzoor Nabi kareem Sallallahu Alahi Wasallum ko bhi ILM huwa or Aap Sallallahu Alahi Wasallum nay in per koi Naraazgi na Farmayi . Balkay Farmaya k jis k Khoon may mera Khoon mila isko Jahunnum ki Aag nahi chusakti . Kya Allah Ta'ala kay Nabi Quran ki Mukhalifat karsaktay hain ? May [[MUHAMMAD AMIN SAFDAR]] nay kaha k in 2 may 1 Waqiya'h to Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Aunhu kay Waalid e Muhattarem Hazrat Maalik Razi Allahu Auhnu bin Snaan ka hay . Iska Ziker Hafiz Ibne Hijr Rehmahullah nay

[[AL'asaba'h Jild 3 Page 346]]

or Ibne Abdulber nay

[[AL'iste'aab Jild 3 Page 370]]

per ziker [Tazkira'h] kya hay . To kya aap in dono Huffaaz ko bhi Hazrat Shiekh ul Hadees Rehmahullah k sath Aetraaz may Shamil karain gay ya nahi ? Dusray ye k Hazrat Maalik Razi Allahu Aunhu bin Snaan Gazwa'h Aohad may hi Aakhir may Shaheed hogaye.

[[ AL'Iste'aab Jild 3 Page 370]]

Dekhiye Gazwa'h Aohad may Shaheed honay walo may wo bhi thay jinhoon nay Sharaab pi thi . Q k abhi Sharaab ki Hurmat ka Elaan nahi huwa tha . To kiya Aap Sabit karsatay hay k Gazwa'h Aohad say pehlay Khoon yani Dam e Masfooh ki Hurmat Naazil Hochuki thi ? Imam Qartabi Rehmahullah apni Tafseer

[[ Jild 2 Page 216 ]]

per farmatay hain K Dam e Masfooh wali Aayat Hujjat ul Widaa'a kay Din Arfa'a may Naazil huwe . To jub tak aap kisi Daleel Qata'yi say ye Sabit na karain k Aohad say pehlay ye Hurmat Naazil hochuki thi Apka Aetraaz hi Baatil hay . Haan Nabi Aqdas Sallallahu Alahi Wasallum or Sahaba kiraam Razi Allahu Aunhum k sath Husne Zan rakhna wajibaat may say hay . Isliye kisi Sahabi kay Sharaab peenay ka ziker Pardh ker Hum foren yaqeen karlay gay k ye Hurmat say pehlay ka waqiya'h hay . Aesay hi kisi Sahabi k khoon peenay or is per Huzoor e Aqdas Sallallahu Alahi Wasallum kay na Daantnay say Yaqeeqan yahi Samjha jaye ga k ye Hurmat say Qabel ka waqiya'h hay or Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Aunhu Huzoor Sallallahu Alahi Wasallum kay Wisaal kay Waqt 9 saal kay thay . Inka waqiya'h bhi Hafiz ibne Hijr Rehmahullah nay

[[ Al asaaba'h Jild 2 Page 310 ]]

per Naqel kiya hay . To kya is Aetraaz may Haafiz ibne Hijr ko bhi Shareek kya jaye ga ya nahi ? Inho nay Bachpen may ye Harkat ki . To ager Hurmat say pehlay ki baat hay to Aetraaz hi nahi or baad may ki to is Jumlay'eh may Daant moujood hay jis kay Badan may mera khoon Jaye ga isko aap nahi chusakti . Mager teray liye bhi logoon say Halakat hay or logoon ko tujh say . Waheed Sahab!! is Qisem k Aetraaz kisi Ilmi Bunyaad per nahi Mehaz ZID per Mabni hain . Dekho Hanfh kehtay hain k Imam Napaak ho , Gusel kiye bagair Namay pardhaday ya bagair Wazu kay Namaz pardhaday to Muqtadiyoon ki namaz nahi hoti . Lekin Allama Waheed uz Zama Zid may aaker ye likh gaye kay imam Janabat ya Be-wazu honay ki Haalat may Namaz pardhaye to Muqtadiyoon ko Namaz lotanay ki Zaroorat nahi.

[[ Nazlul Abrar Jild 1 Page 101 ]]

Ahle Sunnat kehtay hain k Kaafir k pechay Musalmaan ki Namaz nahi hoti , Mager Waheed uz Zama Sahab kehtay hain k hojati hay.

[[ Nazlul Abrar jild 1 Page 101 ]]

Note :: Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Aunhu ka Aan'Hazrat Sallallahu Alahi wasallum kay khoon penay ka waqiya Manderja'h zael kutub may hay

[[ Mustadrik e Haakim Jild 3 Page 553 ]]

[[ Sunan ilkubra Lil'behqi Jild 7 Page 67 ]]

[[ Seer e Aalaamul Nabla'a Lil'zehbi Jild 3 Page 366 ]]

[[ Majma ul Zwaid Ba'riwayat Tibrani o Bizaar Jild 8 Page 270 ]]

[[ Kanzul Aamaal Ba'riwayat ibne Asaakir Jild 13 Page 469 ]]

[[ Al khasayis Lil kubra Lil'siyoti rehmahullah Jild 2 Page 252 ]]

[[ Al'asaaba'h Ba'riwayat abi ya'ala o Al'behqi fi Ald'dalayeel Jild 2 Page 310 ]]

[[ Huliyat ul Auliya'a Jild 1 Page 330 ]]

Note :: Hazrat Maalik Razi Allahu Aunho bin Snaan ka Aan'hazrat Sallallahu Alahi Wasallum kay Khoon peenay ka waqiya'h Manderja'h Zael Kutub may hay

[[ Haafiz Ibne Hijr Asqalaani Al'Shafayi Rehmahullah nay ye waqiya'h Ibne abi Aasim , Bagawi , Sahi Ibne Alsakun or Sunan Saeed bin Mansoor kay hawalay say bhi Naqel kya hay

[[ AL'asaaba'h Jild 3 Page 325 Tba'a [[Print]] Miser [[Egypt]]

yahi waqiya'ah kitaab

[[ Mukhtaser Seerat e Rasool Sallallahu Alahi Wasallum , Ibne Abdul Wahab Najdi Rehmahullah Page 402 per bhi Moujood hay ]]

Note :: is kitab ka Nashir [[Publisher]] Germuqallideen ka Mashhoor [[Famous]] Madrasa'h Jamiyat ul Uloom AL'asriya'h Jehlum from [[Pakistan]] hay .

Khulasa kalaam 2ono waqiyaat Mustanad [[Perfect]] hain or Akaabir Ulama'a Kiraam nay Riwayat kiya hay . Lihaaza Bagair Daleel kay hum in waqiyaat ka inkaar nahi karsaktay . Or inshallah in sub waqiyaat k elawa or bhi aetrazaat hay wo inshaallah Aglay note may ap mulahiza Farmaye gay inshallah ulazeez.