Pages

pyare nabi ki pyari baten pyare nabi ke FUZLAAT ka Masla

pyare nabi ke FUZLAAT

Note :(kuch ulema ne pak kaha hai kuch ne napak kaha
Yeh ek ilmi bahas hai ki Huzoor e pak ke fuzlat pak hain ya nahin
. Yeh koi Aqeedah ka masla nahi hai. Yeh ijtahadi cheez hai Dalail ki buniad par koi Aqeedah ya quran hadith nahin hai.
Chunke Aitaraz kiya gaya tha isliye yeh bahas ka mauzu bana aur maulana ne jawab diya)

Waheed sahab nay kaha K Hazrat Sheikh ul Hadees Rehmahullah nay to Tehreer kya hay K Huzoor Sallallahu Alahi Wasallum kay Fuzlaat Peshaab , Pakhana wagera'h sub PAAK hain . May [[MUHAMMAD AMIN SAFDAR]] nay kaha Fuzla'h ka Ma'any Bcha huwa Phok hay . Mae'da Khana ko pakata hay , is may Asal Quwwat Jiger khench leta hay or Phok pakhana banker nikal jata hay , Yeh Mae'daay ka Fuzla'h hay . Phir jiger Khoon Tayyar karkay Dil ko deta hay or jo Phok reh jata hay wo Peshaab banker Kharij hojata hay , Yeh jiger ka Fuzla'h hay . Phir wo Khoon 1 , 1  Rug ko Steam muhayiya'h karta hay , is Khoon say jo Fuzla'h bachta hay wo Masamaat may Paseenay ki Shikal may Kharij hota hay . Phir jo Khoon Juz o Badan or Gosht bangaya iska Phok Meal Kucheal ki shikal may Masamaat k zariye nikalta hay . Lekin ye to Sarahaten Sabit hay kay Awaam kay Meal Kucheal per Makhkhi Bethti hay Mager Aan'hazrat Sallallahu Alahi Wasallam k Jasad e At'her per Makhkhi nahi bethti thi ye bhi Muttafiq Alahi Haqiqat hay K Awaam ka Paseena'h Badbudaar hota hay Mager Aan'hazrat Sallallahu Alahi Wasallum ka Paseena'h Mubarak Duniya ki Aa'laa khusbuwo'o ko Shermata tha . Aap Sallallahu Alahi Wasallum ki Neend ko bhi Neend hi kaha jata tha mager Aap Sallallahu Alahi Wasallum ki wo Neend hamari Hazaar Bedaariyoo say Aa'laa o Arfa'a thi . Aap Sallallahu Alahi Wasallum ka Khuwaab bhi ‏ وحی ‏hota tha‏ ‏. Aap Sallallahu Alahi Wasallum ki Neen Mubarak say Wazu nahi tootta tha . To jesay Aap Sallallahu Alahi Wasallum ka Paseena'h Mubarak Paseena'h hi kehlata hay mager ye kis nay kaha k Aap Sallallahu Alahi Wasallum kay Paseena'h Mubarak ko Aam insano jesa samjha jaye???? Wo Aap Sallallahu Alahi Wasallum kay liye Paseena'h hi tha mager Aushshaaq kay liye Behtreen khushboo . Badaam ka Rogen nikalnay k baad jo Badaam ka Fuzla'h bachta hay wo Badaam ka to Fuzla'h hi hay mager Banolaa'h kahay K meray Fuzla'yh jesa hay to Koi Aqelmund isko tasleem nahi karay ga . Aan'hazrat Sallallahu Alahi Wasallum beshuk insaan thay lekin Aap Sallallahu Alahi Wasallum ko jin Khasaayis say Allah Taa'la nay nawaza tha in Khasaayis ka inkaar Q kya jaye???? Yaqoot bhi 1 Pathter hay , or Hajr e Aswad bhi 1 Pathther hay , mager yaqoot iska Muqabilaa'h kaha karsakta hay ?? Hajr e Aswad Jannat say Aaya huwa hay . Hazraat Anbiyaa'h Alahimus salaam kay Ajsaam [[ JISEM ki jama ]] Mutahira'h Muqaddisa'h may Allah Taa'la nay Jannat k Khuwaas rakhdiye hain , Isy liye in Ajsaam Mutahira'h Muqaddisa'h ko Mitti per HARAAM kardiya gaya [[ yani Masla'h Hayatun Nabi Sallallahu Alahi Wasallum o Hazraat Anbiya'h Alahimus Salaam ]] hay . In Ajsaam Mutahira'h ka Paseena'h Misel Jannat k Paseenaay kay Khushbodaar banadiya gaya . Isy tarah dusray Fuzlaat bhi ager khusoosi Taharat rakhtay hoon to is may kya Ishkaal hay ???