Pages

Madeena Munawwara Dawat ke Maqsad ka Bayan Deen ki Mehnat

Madeena monawwarah mein hazrat jee(R A) ka ek khetaab
(Bayaan)
(Moarrikha 3/October 1959)
Dawat ki Mehnat ka Maqsad
Us waqt saari dunya men musalmaan apni apni mosibaton se nikalne ki koshish kar rahe hain un ki koshishon ka rukh sahih hai ya ghalat, hamaari is mehnat ka maqsad ye hai ke saare musalmaanon ki koshish sahih ho ,ye apni mosibataon se nikal jayen ye mehnat saari dunya ke aetebaar se aisi hai jaisi ek chunti ki haisiyat ya lakhon ki namaaz men ek namaazi ki haisiyat – 
Chunti ki Dua
lekin Allah ne ek chunti par bhi bataa diyaa ke wo kiya maamlaa karte hain-  hazrat moosaa alaihissalaam baarish ki duaa mange saari qaum ko lekar chale ,lekin raastaa hi se waapas aagaye aur farmaayaa ke ek chunti ne duaa maang lee aur uski duaa qubool ho gayee us chunti ne wo nauiyat ikhtiyar ki jo Allah ko pasand aagayee- 

Agar Mehnat Allah ko Pasand A Gayi
isi tarah agar tumharee mehnat ki nauiyat Allah ko pasand aagayee to zaroori nahi  ke sab is kaam me laga jaayen tabhi inki moseebat door ho , balki sirf tumhaari mehnat par sab ki mosibat door ho jayegi , agar tumhaari mehnat Allah ko pasand aagayee .  isi tarah agar laakhon ki namaz men ek ekhlaas waala hoga to sab ki namaz qubool ho jayegi jo ek ko milegaa wo sab ko milega—
 Tum poori ummat-e-mohammadya sallallahu alaihi wasallam  ke liye darwaazaa khulwa sakte ho , basharte ke tum qubool ho gaye aur agar tumhaari mehnat qubool ho gayee to Allah taalaa sab kuch is par denge.
 Ek haji ne haj ke baad khawaab dekha ke do farishte aapas men ek doosre se kah rahe hain  ke allah taalaa ne eke k ke badle ek laakh ka haj qubool kia ,Sirf tumharaa jaanaa saare ilaaqon ke liye dafaa balaa kaa sabab ban sakta hai agar tumhaaraa jaanaa Allah ko pasand aajaaye - 

Tabiat aur Nafs ka Chhodna
Is raaste mein insaan tabiyat ki cheez ko chhod kar jaata hai lekin tabiyat aur nafs ko nahin chhod sakta nafs jis tarah apni cheezon men lagaataa hai isi tarah doosri bhi apni airdee lagaaye beghair nahi rahegaa  nafs saath hai shaitaan saath khawaah kitni cheezen bhood kar jaayen ye donon saath hain -  aur yahi khatrah  ki baat hai – ab ye mujaahidah kaa kaam hai ke ham chaukune rahen aur in donon se bache rahen .
 Agar mazdoori karni hai to subah se sham tak ghis ghis kar itnaa hi milega  jitnaa kaam karenge . lekin agar bahaanaa talaash kar rahe hain to ?  mojaahidah karna hoga nafs aur shaitaan ke fareb se bachnaa hogaa.  

Allah Tala dene k liye Bahana Dhondhte hain
Masjid-e-nabwee sallallahu alaihi wasallam  ki taameer ke waqt turkon ne  elaan kiyaa  ke jo masjid men haath bhi lagaadega us ko poore din ki ujrat dee jaayegi  to log apne doodh peete bachche ko lekar aur unkaa haath lagwaa kar poore din ki mazdoori le  jaate the – ye to insaanon ki misaal hai – insaanon ko Allah paak se kiaya , Allah taalaa dunyaa chahe to un ke bahaane ke kiya kahne  , who mehnat ke waste mehnat nahin karate balki dene ke liye bahaanaa banaane ko mehnat karaa rahe hain - 
Ummat ke saath khaas Mamla
ye ummat-e-Mohammadyaa sallallahu alaihi wasallam  ke saath khususi  mamla , hadees shareeef men aataa hai k 1 shakhs ne kuchh mazdooron ko zuhar tak kaam par lagaaya – unko unki mazdoori poori poori de di,  2re mazdooron ko zuhar se asar tak lagaa diya,  unko bhi itni hi mazdoori de dee, 3re  mazdooron ki asar se maghrib tak lagaaya , unko sab se ziydaadah ujrat dee – halanke unka  waqt bahut kam tha ,ye ummat-e-Mohammadyaa sallallahu alaihi wasallam hai.
Allah paak ham ko den eke liye bahaanaa banaane ko karaa rahe hain  karne ke liye nahi karaa rahe hain ,bas is kaam ko karne ki teen pahluon ki shubahat paida ho jaa ye – huzur aqdas sallallahu alaihi wasallam  ne saari namaaz padhee , taangon par warm ho gayaa – ham ne agar  pichhlee raat chaar  rikaat  bhi padh lee ,to huzur aqdas sallalaahu alaihi wasallam  se shubaahat ho gayee  aur saaree raat ki ibaadat kaa sawaab mil gayaa ,jab panch mint unki shubaahat huee.
Ye safar khudaa ki dahash walaa safar hai saare kaam karne waalon ke liye ye kaam ek bahaanaa hai ham se mehnat lenaa mahaz dene kaa ek bahaanaa hai –  ab is men zaroori hai ke  unko khush karden ham par bhi ye karam hai ke sahaabaa rizwanullahu ajamaeen kaa pachaaswaan hissa bhi kar len to who khush ho jayenge aur who denge jo sahaabaa ko diyaa  - ham ko Allah se faisle karaane hain jaise sulah-e-hadeebyaa men faisle hue the -   dekhne men ye ke ham dab gaye hamaari naak kat gayee lekin haqeeqat men woh fatah-e-mobeen thi kiyoun ke khudaa kee baat poori ho gayee aur is par Allah paak khush ho gaye  aur sahaabaa keraam(R A)    ne apni tabiyat par khawahish ke khilaaf qaabool paa liyaa  phir beghair zaahiree asbaab ke Allah paak ne oonche oonche sahaabaa(R A)  islaam mein daakhil kiyaa – hazrat umar wa ibnul aas(R A)   aur hazrat khaalid bin waleed(R A)   ke aane ke baad charwaahe ne bhi kahaa ke makka ki kunjiyaan hamaare haath men aagayeen.
Allah ke raasete mein nikalne ka tareeqa
Allah ke raaste me nikalnaa beghair tabiyat ke nahi hota , har moqaa par tabiyat chalegi bas isko dabaana hai kufr  ki ,  shikast ki , aslee cheez apni tabiyat ko dabaa jaane par qaadir ho jaaye sirf isee sifat ke saare kuffar  shikast khaa jaayenge.
Tabiyatien hazrat  khaalid(R A)   ko chaahti thin lekin unko maazool kar diyaa sahaaba(R A)   ko saari umr apni tabiyaton ko dabaanaa padaa hai jab tak woh aise rahe to ijtimaa baaqi baaqi rahaa aur doosraa ansar ghaalib ho gayaa to ijtimaa toot gayaa . khufyaa dushman andar se mashware dega aur tabiyat ko ubhaarega.  
taa-at  aamaal-e-saalehaa ko unko tarteeb se karne kaa naam hai- taaqat woh banegi ke apni tabiyat ko dabaa kar cheez ko Allah ka hukm hai usko Karen Allah ko khush  karne waali cheez ye hai ke apni tabiyat ko dabaa kar hukm ki lain se kaam kiya jaaye – tum ummat-e-Mohammadyaa sallallaahu alaihi  wasallam ke imraaz aur pareshaaniyoun kaa ilaaj ho , basharte ke tabiyat ko dabaa kar chalo – aaj anqaa ye hai ke Allah ke deen ke buland hone ke liye apni tabiyat ko dabaa kar aapas men jud jaayein ham mein ye ikhlaas ho ke Allah kaa kaam aur deen kaa kaam saare aalam men chal jaaye tabiyat ko dabaa kar mashwaron se kaam kiyaa jaaye  - agar  mashwarah na kiya jaaye yaa mashwarah naa manaa jaaye tab bhi tabiyat ubhregi  hazrat  abu aiyoub ansaari(R A)   ke ameer  yazeed aur abd.ul-malik bane  to woh  deen  ke liye na nikle, phir saari umr rote rahe ke mujhe ameer se kiyaa lenaa tha,  main kiyoun Allah ke raaste me na gayaa ,  imam hasan(R A)   aur imam Husain (R A)  aur imam jaafar(R A)  sab ki sab yazeed ki imaarat me nikle aur abd-ul-malik  ki imaarat me phire hain.
 Allah ke raaste mein nikalne ke faide
Jo Allah ke liye istemaal hone waalaa ban jaye aur apni tabiyat ko todne walla ban jaaye to us par Allah ki rahmaten aayengi jo unmein awwal no hoga to uski wajah se saari jamaat Allah ko piyaari hogi tum ye kaam karoge Allah taalaa doosre naqshon ko apni qudrat se badal denge.
Aaj musalmaanon se ye shuoor nikal gaya ke kis kaam mein hamari aafiyat hai  aur kis mein halaakat  Allah taalaa is shuoor ko badal denge agar tum iska sabab ban gaye to aakhirat mein huzur  aqdas sallallahu alaihi wasallam  ke khaas men tumhaaraa shumaar hogaa -  kiyoun ke jo log ummat ke fasaad ko door karne ke liye istemaal  honge unko huzur aqdas sallallahu alaihi wasallam  se mushaabihat ho jaayegi, jitnaa tum kar sakte ho agar itnaa kar lo to Allah taalaa uske darwaaze kholenge jo ham nahi kar sakte ,  waqt apna is tarah guzaaro ke Allah ko tumhaara  nikalnaa pasand aajaaye- madeenaa monawwarah se nikalna bahut qeemti hai.
Kaam kaa saaraa naqshaa jab qaaboo men aayega  jab saari jamaat ko majmooei taur se apni tabiyat dabaani aajaaye.
Ek baadshaah ka waaqiaa
Ek baadshaah apne  mahal me soyaa huaa tha – aadhi raat ke waqt uski aankh khulee aur dil men apne khazaanon ko dekhne ki khahish  paidaa huee , usi waqt uth kar chabhiyan lekar khazaane ko khol kar unhon ne jab sone  chaandi ,laal-o- jawaahar ko dekhaa jo chamak rahe the to dil men khiyaal aayaa ke ye khazaanaa to meri das(10)  pushton tak ke liye kaafi hai  baadshaah ki ye baat Allah ko pasand naa huee aur baadshaah ko dikhaane  ke liye balke poore insaanon ko samjhaane ke liye wazeer ki bhi aadhi raat ko aankh khulee aur khayaal huaa ke mai ne hisaab ke liye asar ke waqt khazaane ko kholaa tha  lekin yaad nai ke main ne darwaaze ko khulaa chhoda tha ya band kiya tha  usi waqt chabhiyan lekar jab khazaane ke paas aayaa to darwazah khulaa  hua tha andar jaaye beghair hi darwaaze ko band kiya –
Baadshaah khazaane ke andar hi band ho gayaa subah jab baadshaah darbaar ko nahi aayaa to wazeeron ne mahal ke andar paighaam bhejaa, lekin mahal se jawaab aayaa ke baadshaah aadhi raat ke waqt mahal se nikle hue hain  aur hamen koyee pataa hi nahi ke kahaan gaye hain-   bahr-e-haal bahut  dinon tak talaash kiyaa , magar koyee pataa nahi chalaa-  pandrah(15) bees(20) dinon ke baad jab khazaane ko khola to baadshaah murdah haalat men khazaane ke andar padaa hua milaa  aur saath ek parchaa  likhaa huaa padaa tha ke jo dunyaa ke sone chaandi  aur jawahiraat  ke saath dil lagaa letaa hai us kaa hashr mere jaisaa hogaa –  jaisaa ke meraa huaa—
Allah paak ki madad utaarne  ke liye 3 cheezein ikhtiyar karni hongi –
        1.           Taqwaa
        2.           sabr  

        3.           duaa