Pages

fazail e amaal by tauseef ur rehman lecture sawal Jawab Ghair Muqallid




Fazail e Amaal par Ghair Muqallid Bhaion ka Waswasa Part 1 (Jo Mai hu Wo Toh hai) ki Tahqeeq.


Ahle Baatil Ne Yeh Waswasa Daala Hai Ke Fazail E Amaal Ke Ibaarat Me Shirk Maujood Hai Aur Ghair Muqallideen Ke Asr E Haazir Ke Khateeb Shaik Tausuf Ur Rehman Ne Is Ibaarat Ko Wahjatul Wujood Ke Masla Par Istedlaal Kiya Hai :
Jis Ibaarat Par Aiteraaz Hai Wo Ibaarat Yeh Hai :
” Tera Hi Wujood Hai, Main Kya Hu Kuch Nahi Hu Aur Wo Jo Mai Hai Wo Toh Hai Aur Mai Aur Tu Khud Shirk Dar Shirk Hai Astagfirullah Astagfirullah Astagfirullah……
Note : Baaz Fazail E Amaal Me Toh Ki Jagah Tu Likha Huwa Hai Jisko Kutub Khaana Wagaira Ne Ghalat Chaapa Hai. Lekin Hazrat Shaik Ul Hadees Rh. Ne Hawaala Makaatib E Rasheediya Ka Diya Hai.
Jis Me Ibaarat Saaf Aur Waazeh Hai.
Aur Jo Mai Hai Wo Toh Hai (Is Jumle Ko Samjhiye Urdu Me Taa Wow Jaha Likha Jaata Hai Toh Aam Taur Par Tu Hi Padha Jaata Hai .Yaha Par (Scan Page Me)  Pesh Isliye Daala Gaaya Hai Taake ‘ Toh ‘ Majhool Padha Jaaye Aur ‘Toh’ Aur ‘Tu’ Me Farq Baaqi Rahe Warna Aadmi ‘Toh’ Ko Bhi ‘Tu’ Hi Padhega. Aur Ghalat Fehmi  Me Muptela Hojaayega Jaisa Ke Nawaaqif Log Ghalat Fehmi Ka Shikaar Horahe Hai )
Scan Page :
Makateeb-e-RasheediyaCollectedByShaykhAshiqIlahiMadnira_Page34
Ab Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :
  Aur Wo Jo Mai Hai Wo Toh Hai ( Ya Mai Se Muraad Takabbur Hai ) Aur Mai ( Takabbur) Aur Tu ( Zaat E Baari Tala ) Khud Shirk Dar Shirk Hai Astagfirullah Astagfirullah Astagfirullah…….
Wazaahat : Yeh Hai Ke Jis Dil Me Takabbur Ho Us Dil Me Allah Nahi Aasakta Hai Isliye Ke Mutakabbir Aadmi Apne Ko Bada Samjhta Hai.
Yaha Par Hazrat Yeh Bataana Chaahte Hai Ke Ya Allah ! Jis Dil Me Mai Yaani (Takabbur ) Ho Us Dil Me Allah Nahi Aasakta Aur Jis Dil Me Allah Aur Takabbur Dono Maujood Ho Yeh Toh Shirk Hai (Isliye Hazrat Farmaate Hai Mai ( Takabbur) Aur Tu ( Zaat E Baari Tala ) Khud Shirk Dar Shirk Hai “ )
Aur Aage Shirk Se Bachne Ke Liye Kehrahe Hai Ke  Astagfirullah Astagfirullah Astagfirullah Laa-Haula-Walaa Quwata Illaa-Billaah“.
Aur Nadaan-Juhaala Ka Kaam Hi Yahi Hai Ke Wo  Ahle Haq Ki Aisi Saaf Ibaarato Ko Ghalat Tariqe Se Pesh Karte Aur Awaam Me Ulama E Haq Par Kufr Fatwe Lagaate Hai.
Ghair Muqallideen Hazraat Se Sawaal :
Nawaab Siddiq Hasan Khansahaab Rh. Likhte Hai Ke
Yaani Raat Ke Waqt Ragheeb Ne Hamaare Darmiyaan Duri Paida Karne Ki Koshish Ki Toh Maine Apne Mehboob Ke Saat Is Tarah Mu’anaqa Kiya Ke
Ta-Hum Bilkul Ek Hogaye Jab Ragheeb Aaya Toh Use Ek Alaawa Dusra Nazr Nahi Aaya.
Is Mazmoon Ko Ek Farsi Sha’ar Me Naql Karne Ke Baad Nawaab Sahaab Rh. Mausoof Farmaate Hai Aur Ajam Nahi Yahi Log (Ahle Hadees) Muhabbat Aur Ittehaad Waale Balke Haq Ki Baat Yeh Hai Ke Yahi Log Wahdat E Mutlaq Ke Maalik Hai. (At-Taajar Mukallal : Safa 90)
Scan Page :
bbnm44_Page79
Ab Hamaare Ghair Muqallideen Aur Unke Khateeb Tausuf Ur Rehman Sahaab  Se Sawaal Hai Ke Yeh Kehne Ke “Ta-Hum Bilkul Ek Hogaye Jab Ragheeb Aaya Toh Use Ek Alaawa Dusra Nazr Nahi Aaya “
Yeh Quraan Kis Aayaat Saabit Hai.
Kaunsi Aisi Hadees E Rasool Jisme Is Tarah Ka Mazmoon Maujood Hai.
Note : Jawaab Ahadees E Sahiya Se Di , Qiyaas Karke Shaitaan Aur Taqleed Karke Mushrik Na Bane.