Pages

Fazail e Amaal lecture by Meraj Rabbani sawal Jawab Ghair Muqallid Munazra




Fazail e Amaal par Ghair Muqallid Ilzamat Part 2 (Ek Buzurg ka Kai Din tak Rafe-Hajaat ke Liye Na Jaane ke Qisse) ki Tahqeeq.


Tamheed : Baaz Cheeze Wo Hai Jise Hum Darja E Ijmaal Me Toh Bayaan Karsakte Hai Lekin Darja E Tafseel Me Bayaan Nahi Karsakte.
Agar Bayaan Kare Toh Be-Adbi Aur Gustaqi Hogi.
Masalan ,
Har Musalmaan Yeh Kehta Hai Ke Insaan Ke Pure Wujood Ka Khaaliq , Banaane Waale Sirf Allah Hai.
Aur Aisa Kehna Adab Ka Pehlu Hai Lekin Agar Jism Ke Har Aaza Ko Ginaaya jaye Aur Kahe Ke Allah Tala Falah Aaza Ka Bhi Khaliq Hai.
Yeh Pahlu Gustaaqi Aur Be-Admi Hai.
Isi Tarah Jab Koi Baap Apni Beti Ki Shaadi Kare Toh Apne Damaad Se Kehte Hai Ke “ Meri Beti Ke Huqooq Ka Qiyaal Rakhna “ Yeh Baat Toh Usne Darja E Ijmaal Me Kahi Hai Lekin Kya Wo Har Har Huqooq Ginaa Sakta Hai.
Agar Wo Kare Toh Be-Admi Aur Be-Hayai Ka Pahlu Hai.
Isi Tarah Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Yeh Aqeeda Hai Ke Allah Tala Har Jagah Maujood Hai Aur Uska Noor , Anwaar Dunya Ke Har Kone Me Hai , 7 Aasmaan , 7 Zameen aur Usme Jo Kuch hai Usme Allah ka Noor Maujood Hai.

اللَّهُ نُورُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ

(Sureh Noor : 34)
Tarjumah : Allah Noor hai Aasmaano aur Zameeno ka.
1 – Imam Ibn Kaseer Rh. Imam Suddi Rh. ka Qaul Naql Karte hai ke uske Noor se Zameen wa Aasmaan Munawwar hai.
(Tafseer Ibn Kaseer : Jild 10 : Safa 235)
Scan Page :
tkather10_Page235
2 – Imam Tabri Rh. Farmaate hai ke “ Mutaakhireen ne Kaha Balke us Noor se Muraad Roshni hai aur unhone kaha hai ke uska maana hai ke (Allah) Zameen wa Aasmaan ka Noor hai. (Tafseer e Tabri : Jild 17 : Safa 296)
Scan Page :
taftabry17_Page296
3 – Durr Mansoor : Jild 11 : Safa 57 me Imam Suyuti Farmaate hai ke Allah ke Nabi SAW jab raat me tahajjud padhte toh yeh dua karte ke “……………..Aye Allah ! Tamaam Taarife Aap hi ke liye hai , aap Aasmaano aur zameen ke Noor hai…….”
Scan Page :
drm11_Page57
Note : Yahi Bukhari , Nasaai Wagaira me Maujood hai.
(Saheeh Bukhari : Hadees no 1053 ,5842 , 6888)
Scan Page : 
mhsks_Page87
(Sunan e Nasaai : Hadees no 1601)
Scan Page :
mhsks_Page2196
Is ayat wa ahadees ki rooshni me Yeh Aqeeda wazeh hota hai ke Allah tala ke anwaar ( Noor ki Zama) aasmaano aur zameen me hai.
Lehaaza Waqia Jo Ke Fazail E Amaal Me Hai Wo Bilkul Saheeh Hai.
Ek Dhoka :
Tausuf Sahaab Kehte hai
Hamaare Abdur Raheem Shah ke Quddam the , Kai Kai roz Istanjah Karne Is Liye Nahi Jaate the ke UNHE WAHA PAR BHI NOOR NAZAR AATA THA.
Dekhiye Tausuf Sahaab ki Video Clip Fazail e Amaal ki Haqiqat 13 : 00
Jabke Fazail e Amaal Me Yeh Lafz (UNHE WAHA PAR BHI NOOR NAZAR AATA THA)Qatan Maujood nahi hai.
Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :
Hamaare Maulana Shah Abdur Raheem Sahaab Raipuri Rh. ke Quddaam me Ek Sahaab The jo Kai Kai Rooz Is Wajeh se Istanja Nahi Jaasakte the ke HAR JAGAH ANWAAR NAZAR AATE THE.
Fazail e amaal : Jild 1 : Fazail e Zikr : Safa 451 Published By Yasir Book Depot Delhi.
Wazaahat : Yaha par hazrat rh. ke Quddam ne Badi Hikmat se Kaha ke Har Jagah Anwaar Nazar Aate hai Jo ke Bilkul Saheeh hai aur Iska Mafhoom Bilkul Wahi hai jo Quraan e Pak ke Paare 18 Sureh Noor ke Aayat no 34 me hai.
Inhone Is Pahlu ko Darja e Ijmaal Bayaan kiya hai jo ke adab ka pahlu hai.
Lekin Ghair Muqallid Aalim Tausuf ur Rehman ne Dajjal aur Fareb se Kaamlete huwe Kitaab ko Dekhte huwe Bhi Yahi Ibaarat Bilkul Ghalat padhi Taake Wo Awaam me Fazail e Amaal ke Khilaaf Ghalat propaganda Karsake.
Aisi Logo ke Shar se Allah Tala Hamaari aur Puri Ummat ki Hifaazat Farmaaye.
Aur Rahi Baat Ghair Muqallideen Ka Sawaal Ke Kya Allah Ka Noor Waha Hai ?
Toh Humne Arz Kardiya Hai Ke Is Masle Ko Hum Darja E Ijmaal Bayaan Karte Hai Darja E Tafseel Me Bayaan Nahi Karte.
Aur Ghair Muqallideen ka Sawaal ke Allah Tala Ka Noor Waha Hai ? Khud Be-Adbi aur Gustaaqi Ka Pahlu hai Jisko Puchte Waqt Khud Ghair Muqallideen ko Sharm Aani Chahiye.
Hum bhi Ghair muqallideen se Sawaal karte hai ke
1 – Kya Koi Ghair Muqallid Apne Jism Ke Har Aaza ka naam Lekar Kehsakta hai ke Allah Tala Falah , Falah ka  Bhi Khaliq hai. ?
2 – Kya Koi Ghair Muqallid Baap Apni Beti ki shaadi ke Waqt Apne Damaad ko Beti ke har har huqooq ginaa sakta hai ?
Jo Jawaab Ghair Muqallideen In 2 Pehlu me denge Wahi jawaab hamaari taraf se is pehlu ka hoga.