Pages

Fazail e Amaal Lecture by Sheikh Tauseefur Rahman Sawal Jawab Ghair Muqallid Munazra


Fazail e Amaal par Waswasa (Niche Darje ke ilzamat) Part 4 (Hazrat Junaid Baghdadi Rh. ka Tawaaf e Hajj ke Mutalliq Waqiye) ka Jawaab.


Aiteraaz : Hazrat Junaid Baghdadi Rh. ka Tawaaf e Hajj ke Mutalliq Waqiya ko Zikr karke Ghair muqallid aalim tausuf ur rehman ne kaha ke ulama e deoband baitullah ko bhi allah maante hai.
Al – Jawaab :
Ek Dhoka : Tausuf Ur Rehman Sahaab Ne Apni Aadat Ke Mutaabiq Dhoka Dete Huwe Kaha Hai Ke
“Peer Junaid Baghdadi Baitullah Tawaaf Kar Rahe The. Ek Ladki Naujawaan Wo Bhi Saat Tawaaf Kar Rahi Thi , Tawaaf Karte Karte Kehne Lagi Junaid Allah Ka Tawaaf Karte Ho Ya Baitullah Ka Tawaaf Karte Ho ? Kehne Lage Nahi Maine Toh Baitullah Ka Tawaaf Karta Hu , Aasmaan Ki Taraf Mu Karke Kehti Hai Aye Allah ! Yeh Kaisa Pathar Dil Log Hai Jo Patharo Ka Tawaaf Karte Hai
MAI TOH TERA TAWAAF KARTI HU.
Dekhiye Tausuf Sahaab Ki Video Clip Fazail E Amaal Ki Haqiqat : 15 : 34
Jabke Fazail E Amaal Me Yeh Alfaaz (MAI TOH TERA TAWAAF KARTI HU) Qatan Maujood Nahi Hai.
Is Baddiyaanat Shaks Ne Yeh Alfaaz Apni Taraf Se Kahe Hai.
Fazail E Amaal Ki Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :
Usne (Ladki) Ne Pucha Ke Junaid Rh. Tum Allah Ka Tawaaf Karte Ho Ya Baitullah Ka Karte Ho Maine ( Hazrat Junaid Rh. Ne) Jawaab Diya Ke Baitullah Shareef Ka Tawaaf Karta Hu Toh Usne Apna Muh Aasmaan Ki Taraf Kiya Aur Kehni Lagi.Subhanallah ! Aap Ki Bhi Kya Ajeeb Mashiyat Hai Jo Maqlooq Khud Pathar Jaisi Hai Wo Patharo Hi Ka Tawaaf Karti Hai.Uske Baad Usne 3 Ash-Aar Padhe Jinka Matlab Yeh Hai Ke
Log Patharo Ka Tawaaf Karke Aap Ka Qurb Dhundte Hai
Unlogo Ke Dil Khud Bhi Patharo Se Zyaada Saqt Hai
Aur Hairaani Me Hairaan Wa Pareshaan Phir Rahe Hai Aur Apne Qiyaal Me Taqarrub Ke Mahel Me Utare Huwe Hai Agar Yeh Log Apne Ishq Me Sach-Che Hote Toh Unki Sifaat Apni Ghayab Hojaati Aur Allah Ki Muhabbat Ki Sifaat Unme Paida Hojaati.
Hazrat Junaid Rh. Farmaate Hai Ke Uski Us Guftagu Se Ghash Khaakar Girgaye Aur Gashi Se Afaaqa Huwa Toh Wo Ladki Jaa Chuki Thi. (Fazail E Amaal : Jild 2 : Fazail E Hajj : Safa 173)
Scan Page : 
Final
Wazaahat :
Us Ladki Ke Jawaab Ka Matlab  Yeh Hai Ke Jo Log Agarche Makkatul Mukarramah Jaisi Muqaddas Jagah Par Maujood Hai Aur Baitullah Ka Tawaaf Karte Hai Aur Allah Tala Ka Qurb Dhonte Hai.
Lekin Wo Log Cheezo Ki Muhabbat Me Giraftar Yaani Dunya Ki Muhabbat Me Pade Huwe Hai , Baitullah Jaisi Azeem Jagah Me Bhi Allah Ki Muhabbat Ke Muqaamle Me Dunya Ki Muhabbat Unpar Ghaalib Hai.
Tawaaf Jaisi Azeem Ibaadat Jo Dunya Me Baitullah Ke Alaawa Kahi Bhi Kiya Hi Nahi Jaasakta Hai Wo Ibaadat Bhi Allah Ki Muhabbat Se Khaali Ho Toh Phir Yeh Dil Pattar Se Bhi Zyaada Saqt Hai.
Isiko Allama Iqbal Sahaab Rh. Ne Apni Ash-Aar Ke Andar Uska Mataam Manaaya Ke
Rehgayi rasm e azaan ruh e bilaali na rahi
Falsafa rehgaya talqeen e ghazaali na rahi
Masjide marsiya khaa hai , ke namazi na rahe.
Yaani wo sahaab e ausaafe hijaazi na rahe.
Is ash-aar me bhi  ibadat ke ruhaaniyat ki taraf tawajjo dilaayi jaarahi hai jaise ke us ladki ne apni ashaar ke andar ibaadat ki ruhaaniyat ko waazeh kiya hai.
Agar Yeh Log Apne Ishq Wa Muhabbat Me Sach-Che Hote (Jaisa Ke Wo Dawa’a Karte Hai Ke Humme Bhi  Allah Se Muhabbat Hai)
Toh Unpar allah ki muhabbat ghaalib hoti  aur baitullah ke tawaaf se maqsood qurb e khudawandi ke haasil karne me poore khushu aur kuzu ke saat lage rehte.
Gharz Mere Dosto ! Kitni Saaf Ibaarat Hai Aur Isme Jo Jumla Tausuf Ur Rehman Ne bayaan kiya Hai Wo Qatan Qatan Maujood nahi hai.
Beshak , Jhooto Par Allah Ki Laanat Hai.
Note :  Yeh Waqia Hazrat Shaik ul Hadees Rh. ne Apni taraf ne nahi likha , Balke Imam Yafa’I Yemeni Rh. (Siqa) ki Kitaab se Riwayat kiya hai.
Unki Ta’aruf Humne Pehle hi Bayaan kardiya hai.
Aur Yeh Waqia Imam Yafa’I Rh. ne Apni Kitaab Rauz ur Riyaaheen Fii Hikaayatus Saleheen : Safa 70 Par Darj kiya hai.
Scan Page :
روض الرياحين(1)_Page70
Scan Page : Rauz ur Riyaaheen Mutarjim
Nuzhat-ul-BasateenByShaykhYafaeeYamnira_Page87
Sawaal : Tausif Sahaab ! Aapne Jo Jumle Hasad aur Bughaz me Hazrat Shaik ul Hadees Rh. aur Akaabir e Deoband ko Kahe hai.
Agar Tum Apni Baat me Sach-che ho toh yahi jumle Jeddah aur Saudi Arab ki Sar Zameen par Baithkar Imam Yafa’i Rh. ko Kehsakte ho ?
Pas Allah Tala Aisi Jhoote Maulwiyo aur Mullao ke shar wa waswaso se puri ummat ki Hifaazat Farmaaye.
Ameen.