Pages

Fazail e Amaal Lecture Full by Sheikh Tauseefur Rahman video Urdu PDF Munazra



Fazail e Amaal par Waswasa (Niche Level ke ilzamaat) Part 3 (Fazail e Durood ke Ek Sha-ir par Aiteraaz ) ka Jawaab.


Hujjat ul Islaam Hazrat Maulana Qasim Nanotwi rh. ke Qasaid Jo ke Fazail e Durood me Maujood hai uske Ek Shair hai jo ke yeh hai :
Raha Jamaal pe Tere Hijaabe Bashariyyat
Najaana Kaun Kuch bhi kisi ne Juz e sattaar.
(Fazail e Amaal Jild 1 : Fazail e Durood : Safa 780 : Published By Yaseen Book Deopt , Delhi)
Is Shair Se Ghair Muqallid Aalim Tausuf Ur Rehman Nabi E Saw Ko Nauzbillah Allah Tala Ka Tukda Qayim Karte Huwe Khaliq Aur Maqlooq Ko Ek Bataakar Is Sha-ir Par Aiteraaz Kar Ke , Ulama E Deoband Ke Khilaaf Logo Me Bughaz  Paida Kar Rahe Hai.
Jabke Is Sha-ir ka Ma’ana Yeh Hai Ke
Aap Saw Ka Husn E Jamaal Ki Haqiqat Allah Hi Janta Hai Aur Uske (Allah) Ke Alaawa Koi Nahi Jaanta Hai.
Is Sha-ir Me Juz E Sattar Ka Lafz Hai.
Ghair Muqallid Tausuf Ur Rehman Ne Allah Ke Nabi Saw Ko Allah Ka Hissa Aur Juz Bataarahe Hai.
Jabke “Juz” Ka Maane Hai Ke
Siwaaye , Alaawa , Bin , Bidoon , Mawaara , Qate Nazar , Beghair. (Feroz Ul Lughaat : Safa 458)
Aur Iska Ek Maana Tukde Ke Bhi Aate Hai.
Ghair Muqallid Aalim Ne Yaha Dhoka Dete Huwe , 7 Maane Jo Humne Upar Bayaan Kiye Hai Jinke Istemaal Se Matlab Durust Aur Saheeh Nikalta Hai.Unko Chorkar Aisa Ma’ana Ikhtiyaar Kiya Jisse Matlab Ghalat Nikalta Hai.
Yeh Saraasar Tausif Sahaab Ki Qiyaanat Aur Baddiyaanti Hai.
Jaisa Khaja Ke Ma’ane Khudawand , Sahaab , Sardar , Aaqa Ke Aate Hai.(Feroz Ul Lughaat : Safa 597)
Inke Ma’ano Ka Istemaal Karke Log Apne Bach-Cho Ke Naam Rakhte Hai.
Lekin Khaja Ka Ek Ma’ana Hijde Ke Bhi Aate Hai.
Jiska Istemaal Karke Meraj Rabbaani Sahaab Sultan Ul Auliya Khaja Moinuddin Chisti Rahmatullahi Alai Ki Shaan Me Gustaaqi Ki Hai.
Dekhiye :
Ab Koi Ma’ana Hi Ghalat Le Raha Hai Toh Uska Kya Ilaaj Hai.
Jis Tarah Meraj Rabbani Ne Khaja Ke Ache Ma’ane Ko Chorkar , Aisa Ma’ana Ikhtiyaar Kiya Hai Jisse Matlab Ghalat Nikalta Hai.
Isi Tarah Tauseef Sahaab Ne Bhi Ulama E Deoband Ko Badnaam Karne Ke Liye Juz Ke 7 Ma’ane Ko Chor Kar Aisa Ma’ana Ikhtiyaar Kiya Hai Jisse Matlab Bilkul Ghalat Nikalta Hai.
Halaanke Uska Ma’ana Yeh Hai Ke
Aap Saw Ka Husn E Jamaal Ki Haqiqat Allah Hi Janta Hai Aur Uske (Allah) Ke Alaawa Koi Nahi Jaanta Hai.
Lekin Ghalat Ma’ana Karke Badnaam Hi Karna Chahta Hai Toh uska Kya Ilaaj Hai.
Pas Allah Tala Aisi Logo ki sher se ummat e muslimah ki hifaazat farmaaye.