Pages

Maulana Saad Bayan in urdu in Hyderabad Ijtema and Maulana Yusuf R.A. Bayan

This is Bayan of Maulana Yusuf Sb Rahimullah. Maulana Saad Bayan is after this.
                   Page 2                                           Page 1
 Page 4                                                          Page 3

                    Page 6                                           Page 5
            Page 8                                                          Page 7

Maulana Saad Sb Bayan
These are selected portion only...............

Urdu

transliteration:
……balke is kaam ke sath hamara islahi ta'lluq nahin qaayam hoga. Maulwi Ilyas saheb farmate they "ye kaam wali gar hai..khud wali banane wala kaam hai." Agar is kaam se kaamyabi ka, tazkiye ka, hidayat ka, taraqqi ka yaqin nahin hai to is kaam ko halka samajh kar chod diya jayega....is liye mere muhtaram doston, azizon, buzurgon sab se zyada zururat is kaam par yaqin aur basirat ki hai taaki hame is kaam par istiqamat ho..agar kaam se yaqin na huwa to kaam to halka samajh kar chod diya jayega..aur be asar samjh kar choda jayega....is liye ke iski taa'seer... is kaam ki ta'seer is kaam ki qurbaniyon ke pura hone mein hai..agar is kaam ki qurbaniyan aur is kaam ke mutaalibe pure nahin hue...to is kaam ka asar zahir nahin hoga..is liye mere muhtaram doston ,buzurgon aur azizon...hamein sab se pehle Allah se is kaam par baseerat mangni hai...ke Allah hamein is kaam par yaqin aur basirat ata farmawe, kyun ke basirat ke baqadr istiqamat hogi aur istiqamat ki baqadr Allah ki taraf se qubuliyat hogi....to char batein hamare liye zururi hain..mujhe char batein arz karni hain, kam par baseerat, apas ki ijtimayyiat, aur jaa'miiyyat ke hum mein jamiyat ka mizaj ho, aur chauthi cheez sifat-e-qubuliyat ke Allah ke yahan apne aap ko sifaat se qubul karwana..ye char cheezen kaam karne walon me honi chahiye...kam par baseerat, kam karne walon mein ijtimiayit, inke mizaj mein jaa'miyyat aur sifat-i-qubuliyat...to pehli chiz ye hai..is liye ke ambiya (asws) apne kaam mein basirat par hote hain....to jo haalaat, rukawatein, qaum ki taraf se eraaz, nabiyon ki dawat ka qubul na hona, ye tamam cheezen jo pesh aati hain, ye in cheezon mein, in rukawaton ke bawajud apna kaam pura karte hain is liye ke unhein yaqin hota hai apne kam se apni kamyabi ka..is liye mere muhtaram doston buzurgon, is kaam par istiqamat ka raaz ye hai ke hum is kaam ko apni zaat ke liye karein, dawat ko samajh kar chalein, ke dawat ki kya ta'seer hai aur dawat kyun di jati hai aur ye dawat kiske liye hai.....dekho dawat daa’ii ki apni zaat ke liye hai..hamare andar kabhi doosron ki islah ka jazba apni zaat ko na bhula de...ki dusron ki islah ka jazba..hamein apni zat ki taraf se befikar karde..ke asal mein dawat dai'i ki apni zaat ke liye hai....repeated......hazrat farmate they ke is kaam ko apni zat ke liye karo...jo apni zaat ke liye karega wo saleh banega....jo saleh banega Allah(ri) us se ummat ki islah ka kaam le lenge....is liye bhalai ka hukm karna, burai se rokna ye asal apni zaat k liye hai...is kaam mein hum ibtida mein apni zat ke liye karte they..jab karna aa gaya to phir hamein is kaam mein doosron ke taqaazon ne chalaya....is khayal ne hamein apni zaat ko bhula diya..ke hamari naql-o-harkat...hamari mehnat...ye to hamari apni zaat ke liye hai...dusri baat....ye hai hamare dilon mein is ka yaqin ho ke ye kaam tarbiyat aur tazkiye ke liye kafi hai...agar khuda na kere ye yaqin na paida hua andar to phir hamara ta'alluq is kaam se islahi nahin rahega..